dialogues for Tag:
Tag:
Joh jung aadmi teer aur talwar se nahi jeet pata ... aurat us jung ko apne aasoonyon se jeet leti hai
Aurat ko hathyar banakar jung ladne waala mard ... mard nahi hota
Jung koi bhi ho, nateeja kuch bhi ho ... ek sipahi apna kuch na kuch kho hi deta hai
Sipahi jab maidan-e-jung mein utarta hai ... toh apna hathyaar lana nahin bhulta
Maarne waale sun, tu kuch gadi ka mehmaan hai ... teri hi hukumat mein, tujhse jung ka elaan hai
The more you sweat in peace ... the less you bleed in war
Is ladai mein yah toh hamari poori jeet hogi ... yah poori haar
Jung ke maidan mein ladne wala har sipahi barabar hota hai
Jung chahe farz ki ho ya dilon ki ... humein dono jeetna aata hai
Aadmi ke paas jis prakaar ka astra shastra ho ... ussi prakaar ka yudh ladna chahiye ... tabhi usko safalta milti hai
Girte hain sher savaar hi maidan-e-jung mein ... woh tiflya kya girega joh ghutno ke bal chale
Jung mein pyar nahi hota ... lekin pyar mein jung hua karti hai
Sainik hona ek desh ka sipahi hona hi nahi hai ... sainik hona ek shahadat hai, ek qurbani hai, balidaan hai ... aur sainik ke ghar waale sainik se bhi badhe shaheed hote hai
Band karo yeh yudh ... is yudh ki jeet mein bhi haar hai aur haar mein bhi haar hai
Daulat ki jung mein toh sab jayaz hai
Jab ek ki doosre se ranjish ho, usse dushmani kaha jaata hai ... aur jab do yodha mil jaye, usse jung ka elaan
Yeh nafrat aur mohabbat ki jung hai ... nafrat sar kaatti hai aur mohabbat sar jhukati hai
Mohabbat ho ya jung ... do hi cheezein jeeta sakti hai ... ek rokda aur doosra danda
Akalmand ki pehchan gusse ke waqt hoti hai ... aur bahadur ki maidan-e-jung mein
Itne baazu itne sar, ginle dushman dhyan se ... harega woh har baazi, jab khelein hum jee jaan se
Jung se dharti ka seena toh laal hota hi hai ... yeh desh ki atma ko bhi ghayal kar deti hai
Apun ki parchai maut ka pehghaam lati hai ... apun ki awaaz jung ka elaan karti hai ... aur apun ki maujoodgi sare bazar dushman ko nanga karti hai
Hum uss sipahi ki tarah hai ... jiske haath mein sirf mayan hai ... talwar nahi
Bina shaadi karvaye aap marne chale ... bandook haath mein li nahi jung ladne chale
Kyun meri Kashmir jaisi zindagi ko Kurukshetra banane pe tuli ho?
Jab tak bandook mein aakhri goli hoti hai ... jung jeeti ja sakti hai
Manushya ko makhan mein baal ki tarah, samudra mein jaal ki tarah aur yudh mein dhaal ki tarah rehna chahiye
Jab jab adharm ka sar uthta hai ... tab tab dharm devta ka paon usse kuchal deta hai ... jab jab Ravan pehda hota hai ... Ram ko janam lena hi padta hai ... jab bhi Kaurav atyachar karenge ... Pandav unhe nasht kar denge ... yahi yudh dharm hai, yahi jeevan karam hai
Yeh azaadi ki ladai mere mar jaane se khatam nahi hogi ... yeh ladai toh mere mar jaane ke baad shuru hogi ... aur us waqt tak ladi jaati rahegi jab tak yeh Bharat maa ke bichade hue bachche maa ki ghod mein vapas nahi chale jaate
Joh kali dulhan bani hai woh chaman ki jaan hai ... par dahej joh kuch mila hai, jung ka samaan hai ... aap meri toop hai aur sasur captaan
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
