dialogues for Tag: Business
Tag: Business
Business karne ke liye tumhare pass sari duniya padi hai ... phir tum meri choti si duniya ko apna business kyun banana chahte ho
Mujhe nahi malum business kaise hota hai ... magar pyar toh aaise hi hota hai
Sab bikta hai ... daam barabar hona chahiye
Tumhari bakwaas sunne ke saath saath ... mujhe business bhi chalana hai
Daam lagane se keemat chukane ke beech ... sirf saudebaazi ka faasla hota hai
Jab business chalana samajh ke bahar ho jaye ... toh business band kar dena chahiye
There are no sentiments in business
Pyar ka karobaar toh bahut baar kiya hai ... magar pyar sirf ek baar
Ab tak joh khoon is company ko banane mein laga na ... wohi khoon is company ko barbaad karne mein lagega
Pachees baar keh chuka hoon ki ... dhande ki baat phone pe nahi
Malik, tu aur teri yeh company ... khallas
Duniya mein har kaam fayde ke liye kiya jata hai
Hamare dhande mein ek galati ko maaf karna ... usse bhi badi galati hai
Agar company mere bina chal sakti hai na ... toh main bhi company ke bina chal sakta hoon
Yeh dhanda hai na bewafaa aurat ki tarah hai ... bewafai par utar aaye toh kangaal kar deta hai ... aur wafaadari par utar aaye toh malamaal
Yeh kaisa locha kiya tune mere pyar ka ... maal toh bika nahi bill chad gaya udhaar ka
Hamare dhande mein kisi ek ki kamzori ... doosre ki taqat ban jaati hai
Hamare dhande mein hum doston se zyada dushmano ki khabar rakhte hai
Contract kagaz ka hota hai yah phir dil ka ... par contract, contract hota hai
Chande mein aur dhande mein Aslam bhai ke liye sab dharam samaan hai
Ek kamyab businessman wahi hota hai ... jis mein faisla lene ki ek shamta ho
Businessman woh hota hai joh poori imaandari ke saath ... apne waqt, apne hunar, apni kaabiliyat ka sauda karne ke baad muhafza kamata hai
Politics is the most lucrative business
Yeh businessman bade matlabi hote hai ... inka hasna ya rona business hota hai, inka bolna ya khamosh rehna business hota hai, inka yaad rakhna business hota hai, bhool jana business hota hai
Hum businessman kisi ko maarte hai toh business ke liye ... aur kisi ko zinda rakhte hai toh business ke liye
Yeh business waale kisike dost nahi hote ... yeh sirf paise ke dost hote hai
Main apne area mein pehle gair kanooni dhande band karta hoon ... aur phir dhande karne waalon ko
Dhanda shuru karne se pehle teri jahan jahan bhi pahunch hai na, un sabse meri report manga lena ... agar kisi ek ne bhi mere area mein dhanda shuru karne ki salah di na tujhe ... toh vardi ki kasam tere dhande ka ribbon kaatne main khud aaonga
Imaandari se zyada zaroori hai dukaandari
Yeh Mumbai hai, yahan har cheez dikhawa hai jise hum showmanship kehte hai ... sajawat hai jise hum publicity kehte hai ... aur banawat hai jise hum marketing kehte hai
Aadhi aadhi chai peene se chahat badti hai ... chahat se dosti badti hai, dosti se pehchaan badti hai, pehchaan se naam badta hai, naam se kaam badta hai, kaam se daam badta hai aur daam se business badta hai
Politics naukri nahi hai ... business hai, bahut bada business
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
