Page 5 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag: Time

Tag: Time
5 (of 11 pages) | 32 (of 338 items)
1 4 5 6 11
Kabhi kabhi aisa lagta hai jaise yeh sab pichle janam mein hua ho ... aur kabhi jaise kal hi
Sacha pyar sabse bada hota hai ... waqt se bhi aur kismat se bhi
Kismat se thoda sa waqt ... aur waqt se thodi si kismat churane aaya hoon
Ek hi waqt har insaan ke liye alag hota hai ... kisi ke liye achcha hota hai, toh kisi ke liye burra hota hai
Burre waqt ki ek baat achchi hoti hai ... ki woh bhi guzar jaata hai
Jitna talk time hai utna bol
Zindagi mein kuch cheezein haasil karne ke liye sahi ya galat dekh ke nahi ki jaati ... balki waqt aur halaat dekh ke ki jaati hai
Kal toh chala gaya, us pe koi control nahi ... aur aane waala kal toh tabhi sambhalega ... jab aaj kuch thik kar do
Jurm ki duniya mein waqt aur mauke ke hisaab se chalna padta hai
Yeh zindagi ek jung ka maidan hai ... yahan sar uthakar jeene ke liye insaan ko har kadam par ladna padta hai ... kabhi waqt ke saath, kabhi halaat ke saath aur kabhi maut ke saath
Signal pe rukne waale har ek aadmi ke bheje mein ek-hich tension rehta hai ... ki kab yeh signal apna rang badle aur kab woh idhar se nikal jaye ... idhar bitayele dus se pandra second bhi, saale ko ghante ke maafit lagte hai
Pyar har waqt saath rehta hai ... kyun ki pyar waqt se nahin, usse kiya jaata hai jiske saath waqt guzaarte hain
Time ka na bada game hai ... iske saath kabhi nahi khelneka
by: Vinod Khanna
from: Risk (2007)
code:
Duniya mein har successful aadmi ka saath ek na ek din success ne zaroor choda hai ... chahe woh umar ke vajeh se ho ya time ke vajeh se
Kuch aur paane ki chaah, kuch aur behtar ki talaash ... is hi chakkar mein insaan apna sab kuch kho behetta hai joh uske paas hota hai ... talaash kabhi khatam nahi hoti ... waqt khatam ho jaata hai
Rishtey waqt se nahi, jazbaaton se mazboot hote hai ... kabhi koi ek saal tak janane ke baad bhi apne dil ki baat nahi samajh paata ... toh kabhi koi kisi ko ek pal mein apna jeevan saathi maan leta hai
Apne waqt se aage hona aasaan hai ... usse sehna bahut mushkil
Aye khaak nasheeno uth baitho, woh waqt kareeb aa pahuncha hai ... jab takht giraye jayenge, jab taj uchaale jayenge
Kehte hai waqt har zakhm bhar deta hai ... magar waqt hi mera zakhm hai
by: Sanjay Dutt
from: Zinda (2006)
code:
Dor bahut dor jahan tak nazar jaati hai ... samay ke saath saath yaadon ka ek safar ... samundra ki leharon ki tarah saath saath chalta hai ... saath saath chalta hai
Yeh joh sagai aur shaadi ke beech ka waqt hota hai na ... bahut adhbut hota hai
by: Unknown
from: Vivah (2006)
code:
Har din, ek pal, ek lamha aaisa hota hai ... jab rab sabki baat sunta hai ... aur sochi hui baat sach ho jaati hai
Joh log waqt barbaad karte hai ... waqt unhe barbaad kar deta hai
Yeh Bombay hai ... yahan time ka matlab hai paisa ... mujhe tees minute journey teen minute mein poori karni hai
Apun Anna ... chaubees ghante chaukana!
Yahan se nau do gyarah ho ja ... nahi toh teri zindagi mein aaj ke baad barah toh kya ... kabhi kuch bhi nahi bajega
Tumhe har haal mein guzre huye kal aur guzre huye pal ko bhoolna hoga
Waqt ka matlab hota hai, ab ... pyar karna hai, toh ab ... maafi maangna hai, toh ab ... haath pakadna hai, toh ab
Ameeron ke joh kutte hote hai na, woh kabhi bhaukte nahi hai ... aur jab woh bhaukna shuru karde toh samjho ki unko time khatam ho gaya
Beeta hua kal toh ek khwab hai ... uska na koi chehra hota hai na wajood hota hai ... sach toh sirf tumhara aaj hai aur tumhara aane waala kal
Pyar mein waqt ki koi seema nahi hoti
Dost nahi badalte ... waqt badal jaata hai
1 4 5 6 11

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.