dialogues for Tag:
Tag:
Vishvas vaade ke daldal ki zameen par khadi dhue ki woh deewar hai ... jispe na toh koi insaan reh sakta hai aur naa hi koi sachai ki keel thok sakta hai
Alga woh daraar hai joh kisi bhi imarat ki buniyaad mein samahkar ... us imarat ko barbaad kar deti hai
Giro saalo giro, lekin giro toh us jharne ki tarah ... joh parbat ki oonchai se girke bhi apni sundarta khone nahi deta ... zameen ke teh se milke bhi apni astitva ko narth nahi hone deta
Do kamzoor insaan ek kamyaab zindagi nahin bana sakte
Achche logon ke saath hamesha achcha hota hai
Tu kanoon ko khareed sakta hai, adalaton ko khareed sakta hai ... lekin bhagwan ke us insaaf ko nahi khareed sakta
Yeh adalat hai na, yeh rishton aur jazbaton se nahi chalti ... adalat chalti hai sabooton se, adalat chalti hai gawahon se
Maarne waale sochte nahi aur sochne waale maarte nahi
Is duniya mein haq kabhi maangne se nahi milta ... cheenana padta hai
Insaan hi bane rehna ... bhagwan banane ki koshish mat karna ... varna woh aaisa mitta dega ki na tum jee sakoge, na hi mar sakoge
Yeh sindoor bazar mein do paise mein zaroor milta hai ... lekin jab kisi aurat ki maang mein bhar diya jaata hai ... toh iski keemat bhagwan bhi nahi chuka sakta
Saari duniya ka dard ... maa ki chatti se lagte hi mitt jaata hai
Samundar mein mutthi bhar shakkar dalne se ... uska namak kam nahin ho jaata
Yahan ya toh bahut sanata hai, ya phir bahut shor ... aadmi akela hai, ya phir mela hai
Bade toh aap ban gaye ... lekin khud ke mamle mein zara chote reh gaye
Amrica mein pyar ka matlab hai len den ... lekin Hindustan mein pyar ka matlab hai sirf dena, dena, dena
Hum naye rishte banane ke liye ... purane rishton ko nahi todh dete
Joh sach sunna chahte hai ... woh apni jeb mein pistol aur dil mein nafrat lekar nahi aate
Jab aadmi daulat aur taqat ki wajah se jitna bada hota jaata hai ... utna hi sach aur asliyat se door hota jaata hai
Yeh kaide kanoon ... hum gareebo ko insaaf dilane ke liye nahi ... balki ameero ki sahuliyat ke liye hai
Kisi shaitan ki di hui saugaat se ... kisi insaan ki di hui khairaat zyada achchi hai
Koi mard kisi kulta ke maang mein apne naam ka sindoor bardaasht nahi kar sakta
Ladki toh hoti hi hai tyag ka zehar peene ke liye
Aurat us waqt tak Sita Savitri hoti hai, jab tak uska pati Ram aur Satyavan hota hai ... jis din yeh maryada tootti hai na, aurat ek aaisa uljha hua sawaal ban jaati hai ... jisse koi mard suljha nahi sakta
Gham se khali nahi jism ka kona koi ... hum rahe na rahe, hum pe mat rona koi
Jab maine apne dil mein rehne waalon ke jaane ka afsoos nahin kiya ... toh ghar se jaane waalon ki parvah kya karoonga
Yeh India hai India ... yahan par aurat deewar se toh gir sakti hai ... magar apne mayaan se nahi
Mujhko lambi umar ki dua na do ... jitni ghuzri nagawar ghuzri
Aap humre pati hai ... parmeshwar banne ka bhool mat ki jiye
Zabaan kabu mein rahe toh zabaan rehti hai ... bekabu ho jaye toh kataar bankar ki masoom begunah ka seena cheer sakti hai
Inspector sahab aapne ab tak jail ki zanjeeron aur salakhon ka loha dekha hai ... magar Shalu ki himmat ka faulad nahi dekha ... pehna di jiye sar se paon tak loha, kheench di jiye zameen se aasman tak lohe ki deewar ... magar Shalu har deewar ko todh degi
Kafan odhne waale ghante nahin ... gadhiyan ginte hain
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
