Page 62 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag: Drama

Tag: Drama
62 (of 109 pages) | 32 (of 3466 items)
1 61 62 63 109
Kehdo uss bade baap ki beti se ke uske samaaj mein shaadi byah ek khel hoga, joh kagaz pe kiye hue dastakhat se bhi toda ja sakta hai ... lekin hamare samaaj mein hum usse puja mante hai ... agni ke saath pheron ke baad yeh bandhan atoot ho jata hai
Jab do barabar ke log ek doosre ko kuch dete hai toh woh tofha kehlata hai ... lekin jab koi rayees kisi gareeb ko kuch deta hai toh wahi cheez bheek kehlati hai, madad kehlati hai
Paheliyon ke jawab aksar kisi agle pichle panne par likhe hote hai ... zara dhyan se dekho toh mil hi jaate hai
Bahut bada durbhagya hai is desh ka ... jahan charitra aur naitikta jaise oonchi aur keemti cheezon ko insaan ke jism ke do inch ke hisse se naapa jaata hai ... charitra toh mannsa, vaacha, karmana hota hai ... jiska mann shudh ho, vichar shudh ho, ache bol bolta ho, ache kaam karta ho ... wohi charitravan hota hai
Dharti par pedh ughe toh sab usse dharti maa kehke uski puja karte hai ... tab yeh koi jaanne ki koshish nahi karta ki iska beej kahan se aaya ... lekin aurat ke bache ko uske baap ke naam se hi jaana jaata hai is duniya mein
Aayenda jab bhi koi mard kisi aurat ki izzat par haath dale ... toh woh yaad rakhe ki woh apni mardani nahi dikha raha, balki atmahatya kar raha hai ... kyun ki aaj ke baad zindagi mein jab kabhi, jahan kahin woh ladki us mard ko dekhegi ... toh usse yeh haq hoga ki woh us kamine ko jaan se maar dale
Yaadon ke aaine mein jab waqt ki dhool jamti hai ... toh chehre dhundale ho jaate hai
Gunde toh ungliyon par ginne ja sakte hai, phir bhi yeh gunde hum karodon par raj karte hai ... kyun? ... sirf is liye ki hum mein se har insaan yeh sochta hai ki woh akela kya kare ... woh yeh kyun nahi sochta ki hum sab milkar kya nahi kar sakte
Main toh samajhta tha ki insaan ka muqadar aasman pe behta bhagwan likhta hai ... lekin mera muqadar toh likha hai aapne woh bhi kaali syahi se nahi ... lal khoon se
Jab bhi hamari kismat hum mein muskurata hua dekhti hai ... toh usse jalan hone lagti hai
Gehre se gehra zakhm bhi itna dard nahi deta ... jitna aaj tumne mujhe diya hai
Aap sirf woh dekhte hai joh aapko dikhaya jaata hai ... aur main woh dekhta hoon joh dikhaya nahi jaata
by: Ajay Devgan
from: Jung (1996)
code:
Yeh tumhara beta ho yah is mulk ke President ka ... A.C.P. Arjun Verma ki nazar sirf muzrim ko dekhti hai ... unke rishton ko nahi
Gutter ke gandhe pani mein agar puja ke phool mila do ... toh woh Ganga jal nahi ban jata
by: Alok Nath
from: Jeet (1996)
code:
Duniya ne toh apne dil nafrat se is kadhar bhar liye hai ... ki kisi aur shay ke tikne ki jagah hi nahi bachi
by: Tabu
from: Jeet (1996)
code:
Kaash unke zulm ki mujhe khabar hoti ... toh main tere jism par apna jism bicha deti
by: Tabu
from: Jeet (1996)
code:
Kasoor na mera hai na tera ... kasoor hamare daaman ka hai ... jis mein phool bhi gire ... toh kaante ban gaye
by: Salman Khan
from: Jeet (1996)
code:
Police ke insaaf aur zulm mein koi farak nahi
by: Tabu
from: Jeet (1996)
code:
Pattharon ki is duniya mein devta banna toh bahut aasaan hai ... insaan banna bahut mushkil
by: Sunny Deol
from: Jeet (1996)
code:
Hum usse hi dushman samajhte rahe ... joh hamare liye masiha tha
Aaj joh khoon apne khoon ke liye pani ho sakta hai ... kal hum sabke liye zehar bhi ban sakta hai
by: Mohan Joshi
from: Jeet (1996)
code:
Jab aurat baazi khelti hai toh uske haath mein jitne patte hote hai na ... utne hi uski aasteen mein
by: Bindu
from: Jaan (1996)
code:
Goli ka koi imaan nahi hota ... woh yeh nahi dekhti ki jis seene mein woh ghus rahi hai ... woh seena kiska hai
Jab bade, bade na rahe ... toh bachchon ko bada banna padta hai
Seene mein jis raftaar se goli utarti hai ... usse zyada raftaar se pyar
Koi bhi insaan paidaishi mujrim nahi hota ... ya toh banaya jaata hai, ya phir ban jaata hai
by: Ajay Devgan
from: Jaan (1996)
code:
Kanoon aur insaaf taqatwar ke ghar ghulam bankar behte hai
by: Sunny Deol
from: Ghatak (1996)
code:
Darakar logon ko woh jeeta hai ... jiski haddiyon mein pani bhara hota hai
by: Sunny Deol
from: Ghatak (1996)
code:
Aapki kabr bhi main apne haatho se khodoonga ... aur aapko dafnaonga bhi main apne haatho se
Jin gande haatho se tumne Bijuriya ke jism ko chua hai ... unhi haatho ko jodhkar tumhe usse maafi mangni padegi
Koi janam insaan ka janam nahi paoge tum ... shraap deti hoon tumhe!
Pyar mein sauda karne ki aadat in aamiron ki ... jaan le leti hai hum jaise gareebon ki
1 61 62 63 109

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.