dialogues for Tag: Drama
Tag: Drama
Jab bhook lagti hai na toh pet yeh nahin poochta ... ki yeh roti imaandari ki hai ya baimaani ki
Bahut kuch paane ke chakkar mein kabhi kabhi insaan sab kuch kho beheta hai
Main yeh nahi janta ki yeh kahan likha hai ... ki ek aurat mard se zyada pyar de sakti hai
Mitti jab jalti hai toh uska asar sirf fasal par hi nahi ... aane waali sari nasal par asar hota hai
Gore rang pe agar kaala til padh bhi jaye toh usse khurajkar nahi mitaya jaata ... balki log uska aur ehsaan mante hai ... is liye ki woh buri nazar se bachata bhi hai
Samundar ke kinare rehne waala nadiyon se nahi darte ... aur na keechad mein palne waala khoon ke cheeton se bhaagte hai
Joh insaan wafaadar aur gaddar mein fark nahi samajh sakta ... woh maalik hone ke layak nahi ho sakta
Naukar maalik par ehsaan nahi ... sirf namak ka farz ada karta hai
Kichad uchhalne par kichad hi milta hai
Buzurgo ka aashirwad hi duniya ki sabse badi daulat hai
Main kaam ko puja maanta hoon ... aur kaam karne wali jagah ko swarg
Roohein toh kamzarf aur buzdil insaanon ki kaapti hai
Jab dillagi dil ki lagi ban jaati hai ... toh patthar dil bhi pighal jaate hai
Pyar karna koi kamaal nahi hai ... kamaal toh yeh hai ki doosre tumse pyar karne par majboor ho jaye
Zakhm bhar bhi jaye ... magar nishaan baki reh jaate hai
Main tumhara woh hashar karoonga ... ki nazar milane ki toh kya ... nazar churane ke bhi kabil nahi rahoge
Mera rasta kaante ki koshish mat karna haraamzade ... varna main tumhari zindagi ki lakeerein kaat doonga
Jinhe tum aasoon samajhkar pochna chahti ho ... woh aasoon nahi tezaab hai
Joh ghar se kafan baandkar nikalte hai ... woh apna nahi dushman ka naam yaad rakhte hai
Aaj tere ilzaamon ke barood se kasam ki woh dewaar toot hayi
Bachpan kore kagaz ki tarah hota hai
Tu apne aap ko nilaam bhi karde ... toh mere zameer ki keemat nahi laga sakega
Shabdon ki talwar rishton ki woh dor kaat degi ... jise hum dono bandhe hai
Chhot dil par lagi thi aur dard ka sailaab ragon mein umad raha tha
Kaun hai woh jisne meri maa ke gale se mamta ka zevar utaarkar apne naam ka mangalsutra pehna diya ... kaun hai woh jiski lambi umar ke liye meri maa Karva Chauth ka vrat rakhti hai ... kaun hai woh joh meri maa ke dil mein mohabbat bankar aur mere dil mein nafrat bankar panap raha hai?
Khabardaar joh meri maa ke pair chuye kamine ... maa ke pairon tale swarg hota hai aur main tujhe in pairon ko chune ke kabil nahi samajhta
Mere lahoo ko bana diya hai teri dua ne ab toh aag ... apna doodh na bakshna tu, joh na laya tera suhaag
Yeh woh kamina safed posh kasai hai ... joh peshe ki aad mein laashon ka karobaar kar raha hai
Waqt ne teri yadasht ko bhale hi khokla kar diya ho ... lekin tera diya hua har zakhm meri maa ke dil mein utna hi taza hai ... jitne mere daaman par mere baap ke aasoon
Aap hi jaise logon ki buzdili ki kok se nikli hui najayaz aulaaden hai yeh
Ab samajh mein aaya upar waale ka yeh khel ... jab woh aulaad deta hai ... toh dil mein uske liye dard bhi apne aap hi de deta hai
Jis saanp ko main sari zindagi apna khoon pilata raha ... us saanp ne aaj mujhko dassa hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
