dialogues for Tag:
Tag:
Aaj se main apna kanoon khud banaonga
Suraj raat ko nikal sakta hai ... farishtey jhooth bol sakte hai ... chaand aag barsa sakta hai ... magar Ranjit Kumar apne desh ko, apne kanoon ko dokha de ... yeh kabhi nahi ho sakta, kabhi nahi ho sakta
(Kaun ho tum?) ... Zulm ke andhere mein kanoon ki roshni ko jalakar ... masoomon ko zindagi dekar ... zaalimon ko maut ki neend sulaane waala ... inspector Ranjit Kumar
Aaj ya toh insaaf hoga ... ya mamla saaf hoga
Kanoon jurm ko dekhta hai, insaan ko nahi dekhta ... uske samne raja aur runk, ameer aur gareeb, maalik aur ghulam ... sab barabar hai
Duniya mein aaisa mujrim koi pehda nahi hua ... jiska anth kanoon ne na likha ho
Log jab kamyabi ke ghode par savaar sone ki bani hui sadak par daudte hai ... toh woh yeh bhool jaate hai ki yeh sadak jail ki kaal kothri mein khatam hoti hai ya phansi ke takhte par
Main jaanta hoon kanoon behra hota hai, insaaf andha hota hai aur mohabbat bechari bezubaan hoti hai
Kanoon ke raaste mein agar koi aaye toh kanoon nahi tootna chahiye ... chahe rishtey toot jaye
Kanoon kehta hai ki karz agar purana ho jaye ... toh usse chukane ki koi zaroorat nahi
Kanoon ke haath kitne bhi lambe ho inspector sahab ... kisi sharif aadmi ke gelabaan tak kabhi nahi pahunch sakte
Kaatilon ke aage koi rasta nahi hota ... sirf kanoon ki ek kali deewar hoti hai
Kanoon, kanoon, kanoon ... kaunsa kanoon ... main apne liye khud kanoon hoon
Main roz kanoon banata hoon aur roz todhta hoon
Ek khoon ki saza phansi ... aur do khoon ki saza bhi sirf phansi
Kanoon ka matlab agar mulzim ko sazaa dena hai ... toh begunah ko sazaa se bachana bhi
Hamari adalat ka hukum maana nahi ... manvaya jaata hai
Roman kanoon faulad ki tarah sakht aur waqt ki tarah atal hai
Doob maro is insaaf par, aasun bahao is kanoon par ... joh kamzoron ke liye talwar ki dhaar, aur zabardast ke liye bank-e-bahar hai ... joh apne liye nagme-e-saaz, aur hamare liye maut ki awaaz hai
Adalat sachai ki jaanch partaal karti hai ... wahan dilon ki gawaiyan pesh nahi hoti
Phansi aur tum mein ab utna hi faasla hai jitni ki yahan se kacheri door
Dil kanoon ko nahi maanta ... kisi kanoon ko nahi maanta
Insaaf karte waqt har doosre rishtey ko bhool jaana padta hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
