Page 8 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag: Women

Tag: Women
8 (of 15 pages) | 32 (of 474 items)
1 7 8 9 15
Har aurat hamaar maiyya hai aur hum maiyya ka sauda nahi karat
by: Ajay Devgan
from: Lajja (2001)
code:
Chutki bhar sindoor ki keemat bhale hi tumhari nazaron mein ek lal rang se zyada na ho ... lekin ek suhagan ke liye yeh sindoor hi uska suhaag, uski taqat hoti hai
Aurat ke ek nahi teen janam hote hai ... pehla jab woh kisi ki beti bankar is duniya mein aati hai ... doosra jab woh kisi ki patni banti hai ... aur teesra jab woh maa banti hai
Yeh malum hona chahiye ki mard kab peeta hai, kya peeta hai, kaise peeta hai ... yeh jaankari rakhna Bharatiya naari ka sabse important duty hai
Ek ladki ki aabroo sheeshay ki tarah nazuk hoti hai ... is par ek badnaami ka chota sa patthar bhi gir jaye ... toh tootkar chaknachur ho jaata hai
Ladkiyon ka asli ghar unka mayka nahi ... unka sasural hota hai
Jin gharon par Allah meherbaan hota hai ... wahan betiyan paida hoti hai
Joh izzat, shradha, pyar ek beti de sakti hai ... woh ek beta kabhi nahi de sakta ... lekin main yeh bhool gaya tha ... joh sharmindgi, joh zalalat ek beti de sakti hai ... woh bhi ek beta kabhi nahi deta
Aurat ke dil ke andar joh jhankkar uske har khwab ko dekh sake ... wohi uska asli haqdaar hota hai
Khula paisa aur khuli aurat samne ho ... toh aadmi ka dimaag kaam karna bandh kar deta hai
Aurat ke aasooyon se talwar mein zang lag jata hai
Gun sirf gun nahi hoti ... aurat hoti hai, taqat hoti hai
Har kamyaab insaan ke peeche kisi na kisi aurat ka haath zaroor hota hai ... aur mere liye woh tum ho
Aurat ka charitra safed chaddar hota hai ... aur agar uspar daag lag jaye toh woh kabhi nahi dhulta
by: Shashikala
from: Mother (1999)
code:
Aurat ka dil atyachar se nahi ... pyar se jeeta jaata hai
Aurat jis aadmi ka daaman chhodkar bhaagna chahe ... woh mard nahi namard hota hai
Bagair maang mein sindoor aur yeh gale mein mangalsutra ... ek suhaagan adhoori hoti hai ... adhoori
Mahabharat ho yah Ramayan ... har jung ki buniyaad mein aurat hai
Yeh ladkiyan bhi na yaar sab samajhti hai ... par pata nahi hum ladkon ko kya samajhti hai
Tumne aurat ko samjha nahi bhaiya ... woh andhero se nahi darti ... jab woh faisla kar leti hai toh mann mein vishvas ka diya jalakar ... usse apni maang ka sindoor bana leti hai
Ladki apne dil ki baat aankhon se keh deti hai
Jab tak tum jaisi auraten is dharti par zinda hai ... kalyug mein bhi satyug zinda rahega
by: Amrish Puri
from: Gair (1999)
code:
Premika banna bahut aasan hai ... biwi banna utna hi mushkil hai
Auraton par kabhi yakeen mat karna ... mardon ke liye woh maut hoti hai ... kubool kare toh shohar banakar maarti hai ... thukra de toh deewana banakar
Woh vidhva suhagan se oonchi hoti hai ... jiska pati desh ki aan par shaheed hota hai
Kismat aur aurat ka koi bharosa nahi ... jaane kab badal jaaye
Aurat ke pyar ko kabhi seene mein itni jagah mat do ... ke dil ke liye dhadakna mushkil ho jaye
Aurat ke inhi hoton ne lakhon ghar barbaad kiye hai ... aabad kiye hai toh sirf veerane, maikhane, qaid khane aur pagal khane
Aurat 420 nahi, 840 hai ... aur mera aurat malum hai 1680
Yeh ladki hai ya qayamat ... arre yeh sapna hai ki haqeeqat
Joh jung aadmi teer aur talwar se nahi jeet pata ... aurat us jung ko apne aasoonyon se jeet leti hai
Hindustani ladki kitni hi aaj ke zamane ki kyun na ho ... woh apne pyar ka iqraar apne zabaan se kabhi nahi karegi ... ladke ko uska jawaab khud uske aankhon mein aankhen dalke jaan lena chahiye
1 7 8 9 15

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.