dialogues for Tag: Drama
Tag: Drama
Yeh zindagi bhi ek ajeeb khel hai ... is khel mein bewakoof, kayar aur apahij tamasha dekhte hai ... aur akalmand, hauslamand and bahadur kood padte hai
Baadalo aur insaan ki saanso ka kya bharosa ... baadal kabhi bhi baras sakte hai ... saans kabhi bhi toot sakti hai
Meri nazar mein paida hona toh ittefaq hai ... lekin jeena ittefaq nahi
Insaaf toh ek chamakta hua suraj hai ... joh aankh dekhle toh savera ... joh na dekhe toh andhera
Hamesha akal ki jeet nahi hoti ... kabhi kabhi akal taqat ke shikanje mein aa jati hai
Hukum leta nahin, professor hukum deta hai
Paise ka lalach insaan ki akal mein daraare daal deta hai ... aur woh tumhari tarah, apni kismat khud jala bethta hai
Agar ab bhi tum na badal sake ... toh tumhare liye mujhe badalna padega
Jab sar par burre din mandraate hai ... toh zabaan lambi ho jaati hai
Pati par shak karna bhagwan par shak karne ke samaan hai
Patthar ka daag mitt jaata hai ... lekin dil par laga hua daag nahi mitta
Main jis raaste se tumhari taraf aane ki koshish karta hoon ... tum us raaste ko mitta dena chahti ho ... tumhara yeh bartav sari duniya se kaatkar tumhe alag kar dega, bilkul alag ... na koi tumhari taraf aayega, aur na hi kal tum meri taraf aaneka raasta pehchaan sakogi
Ab toh mere liye waqt tehar gaya hai re, zindagi tehar gayi hai ... ab toh sirf saans ke tehar jaane ka intezar hai
Agar bhoolne se rishtey naate toot sakte hai ... toh is duniya mein na pyar hota, na nafrat hoti aur na dard hota
Azaadi utni hi achchi hai, jitni ki patang udhane ke liye hawa ... zyada hawa se patang ki dor toot jaati hai aur woh hichkole khate hue kahin ghum ho jaati hai
Zulm aur paap ka khel toh hamesha zaalimo aur paapiyo ki zindagi ke saath hi khatam hota hai
Shakaal ke haath mein jitne patte hote hai ... utne hi patte uski aasteen mein bhi hote hai
Abhi hamari ek mulaqat aur hogi ... aur woh tumhare liye aakhri hogi
Nasha toh ab utrega ... dosti ka, pyar ka, insaaniyat ka
Jab pyar milta hai na ... toh koi bhi bandhan bura nahi lagta
Appointments can wait but death will not
Koi bhi azaadi bina apne niyamon ke poori nahin hoti ... aur issi ko discipline kehte hai
Joh vishvas aankhen hote huye bhi aadmi ko andha karde ... unhe mitana zaroori hai
Bachche bado ko bhool jaaye par bade bachchon ko nahi bhoolte
Iss duniya ki gaadi baimaani aur rishwat ke paiyon par chal rahi hai
Paise mein badi taqat hoti hai ... jinke paas paisa nahi hai na, unse toh unke apne bhi nazar pher lete hai ... aur jinke paas paisa hai, unke gair tak apne ho jaate hai
Insaan ko bulaya ja sakta hai ... uski kala ko nahi
Tu toh apne saathiyon ko bhi dokha de sakta hai ... lekin main apne dushman se kiye huye vaade ko bhi poora karta hoon
Aadmi Himalaya ki choti se girke uth sakta hai ... lekin ek baar khud apni nazron se gir jaye toh phir woh girta hi chala jaata hai
Yeh koyle ki khaan ek ajgar hai ... joh roz anginat mazdooron ko nighalta hai aur unhe chabake, peeske, kuchalke ... unke jismon se zindagi ka ek ek katra chooskar ... ek laash ki soorat mein unhe vapas ughal deta hai
My pain is my destiny and I can't avoid it
Paap karne waalon par patthar uthane ka adhikaar ... sirf usse hai jisne paap na kiya ho
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
