dialogues for Tag: Drama
Tag: Drama
Maine aapko devi jankar puja ... par aap devi nahi, devi ki murti nikli ... joh na kuch dekh sake, na mehsoos kar sake
Aaj hum joh kuch bhi hai na, yeh aap hi ke wajah se hai ... is liye jitna hum yeh charan thame rahenge na ... utna hi dharam aur badega
Dharam ka rishta janam ke rishtey se bhi bada hota hai
Hum mein joh cheez pasand aa jaye ... pehle hum haath jodhkar maangte hai ... aur agar na mile toh, haath todhkar le lete hai
Dil dukh ki aag mein jalta hai ... toh aasoon bankar behne lagta hai
Yeh sab kuch sunne ke baad ... maut hamare liye inaam hogi aur zindagi sazaa
Sudharne mein sadiyan lag gayi ... bighadne mein sirf ek pal
Maangne waala maangkar dene waale ko maan hi toh deta hai
Bahar se dikhne mein toh hum jagmaga rahe hai ek deep ki tarah ... lekin andar se sirf ek jali hui kaali baati ki tarah hai
Aadmi apni buraiyon ke liye doosron ko dosh deta hai ... par sach toh yeh hai ... ki aadmi ke bheetar chupi apni hi koi kamzori hoti hai jiske kaaran woh bura banta hai
Badshahon ka andaza bahut kam galat hota hai ... aur jab galat hota hai toh woh badshah nahi rehte
Aapke mahenge suit se mahenge ittar ki khusboo aa rahi hai ... magar uske andhar chupe aadmi se paise ki badbu aa rahi hai
Ek mujrim ka waqt achcha ho sakta hai ... lekin uska anth nahi
Akalmand apni akal se daulatmand ban sakta hai ... magar daulatmand apni daulat se akalmand nahi ban sakta hai
Mere zakhm jaldi nahin bharte
Sach darrawana nahi hota, ghinawana nahi hota ... sach toh hamesha shubh hota hai
Aankh joh dekhe dhokha khaye ... dil joh andha wohi raah batlaye
Dil ke tootne ki awaaz nahi hoti ... magar usse zalzale aa jaate hai, aasman phat jaate hai, duniya tabaah ho jati hai
Apne maathe se paseena poch ... agar tere gande paseene ki ek boond bhi is dharti par gir gayi ... toh is dharti se anaaj ughna band ho jayega
Gareeb ki beti jis pal bhoj ban jaati hai na ... usse rukhsat kar dete hai
Insaan ki mitti mein dhong mila hua hai ... mitti ko dhong ke pani se hi ghoondkar, maalik ne insaan banaya hai
Makaan ooncha banane se ... insaan ooncha thodi ho jaata hai
Insaan joh nahi hai wohi dikhane ka dhong karta hai ... joh shareef nahi hai woh sharafat ka dhong karta hai ... buzdil bahadur hone ka dhong karta hai ... dil mein lalach hota hai aur zabaan se mohabbat ka dhong karta hai ... aur kabhi dil mein mohabbat hoti hai toh zabaan se anjaanepan ka dhong karta hai
Izzat woh daulat hai ... joh ek baar chali gayi toh phir kabhi haasil nahi ki ja sakti
Tawaif ki zindagi kothe pe shuru hoti hai ... aur kabristan mein khatam hoti hai
Ab aisa lagta hai jaise main koi aadmi nahi, ek laawaris deewar hoon ... jis par har aane jaane waala thook deta hai, gaali likh deta hai
Main tumhari parchai nahi ke halaat ke andhere mein tumhe chhodkar ... roshni dhoondti hui kahin aur chali jaon
Kal ki vaishya aaj kisi shareef ghar ki bahu nahi ban sakti
Har vaishya mein ek aurat bhi hoti hai ... jise na jeene ka mauka milta hai, na marne ka
Tu sharaab ki botal hai ... tujhe peekar log apne aap aur apne khandan ko gaaliyan dete hai
Zindagi ki kuch baatein itni khoobsurat hoti hai ... joh waqt se pehle nahi batayi ja sakti hai
Jis ladki se pyar karta hoon usse shaadi nahi kar saka ... aur jisse shaadi ki hai usse pyar nahi
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
