dialogues for Tag: Romance
Tag: Romance
Ab agar kisi ne tumhe mujhse cheen liya ... toh mera guroor haar jayega
Mohabbat woh mohra hai jiski wajah se bade badhon ko maat mili hai
Jab ek tota tumhare samne sakshaat khadi ho ... toh uske bolne aur actually bolne ke beech ke pause mein na mahino nikal sakte hai
Meri zindagi mein sab ne mera istamaal kiya ... pyar sirf tumne kiya
Tum itni khoobsurat ho ... ki tumhe dekhkar main sari pick-up lines bhool gaya
Kabhi kabhi na kehte huye, na jaante huye ... ek rishta sa judh jaata hai
Pyar na kehkar aata hai na batakar jaata hai
Jab dil kisi ke liye rota hai na ... toh pyar ka pata khud-ba-khud chal hi jaata hai
Paris mein pyar karna aasaan hai ... par pyar paana bahut mushkil
Yeh love bhi kya cheez hai ... ek doosre se ek shabd bhi na kehna aur tab bhi ek doosre ke itne kareeb hona ... us khamoshi ka kuch aur hi mazaa hai
Udh ke aati hoon banke vimaan ... ready rakhna love ka samaan ... milke rahoongi chahe baa lele jaan
Apni saans wapas lene aaya hoon ... atak ke reh gayi hai tere paas
Morni bina mor kis kaam ka ... yeh sindoor hai Ram naam ka
Jeeonga toh tere saath ... maroonga toh tere haath
Green hai angoor, kele ka rang peela hai ... kehdo saari duniya se, Ram ki Leela hai
Badla aur guroor agar samundar ko banjar rann bana sakte hai ... toh aashiq is banjar mitti mein bhi phool khila sakte hai
Tere dil mein soya tha, kyun utha diya ... card kahan se nikla, ke number mila diya
Besharam badtameez khudgarz hota hai ... par pyar toh aaise hi hota hai
Mind jab bhi bolta hai galat hi bolta hai ... lekin heart kabhi galat nahi bolta ... bas heart ko sunne waala ek mind hona chahiye
You're the one jispe atka hai mann
Kiss ki nahi hoti koi classes ... it's just a hit with the masses
Woh mili mujhse Heer ki tarah ... taste mein thi woh kheer ki tarah ... aur dil ke paar hui woh teer ki tarah
Aaj tak maine ek hi insaan se pyar kara hai ... khud se ... par ab tum se bhi karoonga aur palang todh pyar karoonga
Tum abhi bachchi ho ... badi ho jao jaldi ... zindagi bitani hai tumhare saath
Teri zulfon se chanti aati bulb ki roshni ko dekh aaisa laga ... jaise kisi jharoke se chaand jhaank raha ho
Pyar toh sabko hota hai ... par poora kahan sabka hota hai
Jaane kya baat hai usmein joh mujhe kisi aur mein nazar nahi aati ... kya kashish hai un aankhon mein ki main nazar hata nahi paati ... kya hai joh mujhe har pal hairan kiya karta hai ... kya hai joh main tasavvur se mitta nahi paati
Woh kehte hain kabhi aur, kabhi aur hota nahi ... dil bhi toh nadan unke sivah kahin aur khota nahi ... hum mangte hai ek saans, ek dhadkan, ek nigaah ... woh kabhi aur de jaate hai ... par yeh kambakht kabhi aur, kabhi aur hota nahi
Woh aaj humse mile anjaano ki tarah ... hum yunhi raah take baithe the deewanon ki tarah ... har nigaah mein aur door chale jaate hai ... humse nazar churate hai baimaanon ki tarah ... hum yunhi raah take baithe the deewanon ki tarah
Humne joh ki thi mohabbat aaj bhi hai ... teri zulfon ke saaye ki chahat aaj bhi hai ... raat katti hai aaj bhi khayalon mein tere ... deewanon si woh meri haalat aaj bhi hai ... kisi aur ke tasavvur ko uthti nahi, baimaan aankhon mein thodi si sharafat aaj bhi hai ... chaha ki ek baar chahe phir chhod dena tu ... dil todh tujhe jaane ki izaazat aaj bhi hai
Main aaine mein apna chehra bhool sakta hoon ... tumhara kabhi nahi
Pyar, mohabbat, aashiqui sirf lafzon ke sivah aur kuch nahi ... par jab woh mili ... in lafzon ko mainne mil gaye
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
