dialogues for Tag: Inspiration
Tag: Inspiration
Jab vichar ka deep bhuj jaata hai ... toh aachar andha ho jaata hai
Insaan ki umar utni hi hoti hai jitni woh feel karta hai
Agar tum galat raaste par chaloge ... toh ho sakta hai shuruvat mein tumhe bahut kamyabi mile, bahut khushiya mile ... magar anth mein tumhari haar hogi ... aur agar sahi raaste par chaloge ... toh bhale hi shuruvat mein tumhe kadam kadam par thokarein mile, musibaton ka samna karna pade, pareshani ho ... magar anth mein hamesha jeet hogi
Meri teen baatein yaad rakhna bete ... sachai se kabhi mooh modna nahi, zulm ke aage kabhi jhukna nahi, dil ki pehli awaaz sunna ... kyun ki pehli awaaz parmatma ki hoti hai ... bad mein shaitan bolta hai
Pyar karna koi kamaal nahi hai ... kamaal toh yeh hai ki doosre tumse pyar karne par majboor ho jaye
Fight bullets with ballots!
Insaan ki sabse badi guarantee uska apna zameer hota hai
Koi hum mein maarkar hamara anth kya karega ... mitne waale nahi hai hum, koi hamara khaatma kya karega ... zindagi ko apni qaid mein liye ghoomte hai hum ... koi zindagi se hum mein juda kya karega
Hum bhale hi upar waale ko alag alag naam se pukarte hai ... lekin hamara dharam ek hai mazhab ek hai ... insaniyat
Yeh Musalman ka khoon yeh Hindu ka khoon ... bata is mein Musalman ka kaunsa Hindu ka kaunsa, bata!
Agar aap log yeh chahte hai ... ki aap logon ki khuddi ko mittane ke liye agar gundon ki khudai bhi aa jaye aur mitta na sake ... toh aap logon ko khuddar banna padega
Avesh ho ya dukh ho, gussa ho ya khushi ... apni bhavnaon ko paanch minute tak roke rakho ... un paanch minuton mein mann shaant ho jayega ... aur shaant mann se lena waala har ek faisla achcha hi hoga
Duniya mein insaan sirf apne liye pehda nahi hua hai ... doosron ke liye jeekar dekho ... zindagi ka matlab samajh jaogi
Insaan ko zindagi mein sab kuch mil toh nahi jaata ... tamannayein toh bahut hoti hai lekin sabhi poori nahi hoti ... fark sirf itna hai ki kuch log aansoon bahakar jeete hai aur kuch log apne dil ka dard chupakar jeete hai
Duniya ke rachaita Brahma ne har insaan ka bhagya likhkar hi usse is duniya mein bheja hai ... sukh aur dukh uske zaroori ang hai ... is baat ko samajhkar joh jeeye us hi ka naam zindagi hai
Duniya mein koi aisa insaan nahi hai jise kabhi galati na ho ... lekin sahi insaan woh hai joh sahi waqt par galati ka paschatap karle
Insaaf na kanoon de sakta hai na police ... agar koi insaaf de sakta hai ... to ek insaan doosre insaan ko de sakta hai
Is dharti par paapi pehda toh hote hai ... lekin un paapiyon ka anth karne waalon ko yeh dharti maa pehle hi janam de chuki hoti hai
Musibaton ka saamna himmat se karna chahiye ... aasunyon se nahi
Insaan ka dimaag hi sab kuch hai ... joh jitna chala leta hai, utna paa leta hai
Khoobsurati woh nahi hoti joh aaine mein dikhai de ... khoobsurati woh hoti hai joh aaine mein nazar na aaye
Prem ki sabse badi kushalta yeh hai ... ki is mein lene waala bhi kuch deta hai aur dene waala bhi kuch paata hai
Gussa insaan ka sabse bada dushman hai ... jisse gusse par kabu nahi, woh kisi cheez par kabu nahi rakh sakta ... gussa insaan ki akal ko kha jaata hai
Vishwa mein unhi atmaon ko puja jaata hai ... joh shanti ke marg par chalte hai
Hum aankhon se soorma nahin churate ... hum aankhen hi chura lete hain
Jisne dil pe zakhm khaye ho, woh is zakhm se kya gabrayega ... peeye ho jisne khoon ke aasoon, kya woh is khoon se mar jayega
Yahan Punjabi hai, Gujarati hai, Marathi hai, Bangali hai ... lekin Hindustani koi nahi hai
Duniya ke raste bade kathin hote hai ... lekin tum nirash na hona, himmat na harna ... koshisho ke pedho par hi kamyaabi ke phal lagte hai
Mann ke haare haar hai ... aur mann ke jeete jeet
Jab kuch karne aur na karne dono mein hi risk ho ... toh kuch karna hi achcha hota hai
Jahil ki baaton ka jawaab ... khamoshi hota hai
Faanoos banke jiski hifaazat hawa kare ... woh shama kya bhuje jise roshan khuda kare
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
