Dialogues from Movies for Parties
Tu police waala nahin bhadwaa hai ... joh kanoon ko rundi banakar gundon ke haathon mein bechta hai
Is desh ki mitti ke ghar kahi baar toote hain ... magar is desh ki mitti ka mard kabhi nahin toota hai
Jis tarah mazab-e-islam mein haraam hai suvar khana ... jis tarah hindu dharam mein paap hai gaye khana ... in sabse bada gunaah hai ... mard hokar kisi aurat ke jism ki kamai khana
Yeh duniya bahut buri hai, bahut buri hai ... joh bhi deti hai bura banane ke baad hi deti hai
Jab bhook lagti hai na toh pet yeh nahin poochta ... ki yeh roti imaandari ki hai ya baimaani ki
Bahut kuch paane ke chakkar mein kabhi kabhi insaan sab kuch kho beheta hai
Main yeh nahi janta ki yeh kahan likha hai ... ki ek aurat mard se zyada pyar de sakti hai
Mitti jab jalti hai toh uska asar sirf fasal par hi nahi ... aane waali sari nasal par asar hota hai
Ladkiyan kapdo ki itni deewani hoti hai ki agar unka bas chale ... toh kafan mein bhi chand sitare dhakava le
Doodh agar sookh bhi jaye toh koi marta hai kya ... lekin bade bhai ke khoon ke baad agar chote bhai ka khoon sookh jaye ... toh yeh maut se bhi bhattar hai
Gore rang pe agar kaala til padh bhi jaye toh usse khurajkar nahi mitaya jaata ... balki log uska aur ehsaan mante hai ... is liye ki woh buri nazar se bachata bhi hai
Samundar ke kinare rehne waala nadiyon se nahi darte ... aur na keechad mein palne waala khoon ke cheeton se bhaagte hai
Revolver se zyada khatarnak cheez agar koi hai ... toh woh hai tumhari aankhen
Bhairav Singh jahan jata hai ... tabaahi ka toofan aata hai
Kichad toh kisi bhi sabun se dhul sakta hai ... lekin tumhare dimaag mein joh amiri ka kichad bhara hai na ... woh kisi sabun se nahi dhul sakta
Joh insaan wafaadar aur gaddar mein fark nahi samajh sakta ... woh maalik hone ke layak nahi ho sakta
Naukar maalik par ehsaan nahi ... sirf namak ka farz ada karta hai
Is dharti par aisa koi ghoda paida nahi hua ... jiski savari main nahi kar sakta
Kichad uchhalne par kichad hi milta hai
Buzurgo ka aashirwad hi duniya ki sabse badi daulat hai
Aajkal logon ko aisa accountant chahiye ... joh hisaab barabar bhi rakhe aur zaroorat aane par hisaab barabar bhi kar sake
Chaddi mein kar dena, dhoti mein kar dena ... magar raaste mein kabhi nahi karna
Main kaam ko puja maanta hoon ... aur kaam karne wali jagah ko swarg
Zindagi aur maut ka faisla toh uparwaale ki kalam se hua karta hai ... aap jaise rayeeso ki bandook se nahi
Ghoda jitna bhi adyal ho ... uspar savari karne ka utna hi mazaa aata hai
Pyar ka badla pyar aur dosti ka badla dosti ... yeh mera usool hai
Train mein safar kiya, plane mein safar kiya, caron mein safar kiya ... magar kisi bhi safar ka itna mazaa nahi aaya jitna in baahon ke safar mein aa raha hai
Roohein toh kamzarf aur buzdil insaanon ki kaapti hai
Jab dillagi dil ki lagi ban jaati hai ... toh patthar dil bhi pighal jaate hai
Dil se nikli awaaz dil tak zaroor pahunch jaati hai
Mohabbatein karna aur mohabbaton ko jeetna ... yeh toh hamara kaam hai
Sharaab ek aaisi cheez hai ... joh ameeron ka shaunk aur gareebon ki zaroorat hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties read more..
