Page 4 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag:

Tag:
4 (of 9 pages) | 32 (of 277 items)
1 3 4 5 9
Kyun ki bhagwan ek hi waqt har jagah nahi ho sakte na ... is liye unhone maa ko banaya hai
by: Salman Khan
from: Garv (2004)
code:
Apni dharti se gaddari karna ... matlab apni maa ke saath gaddari karna
Na main shayar hoon, na shayar ka bhatija hoon ... main toh jhi apne maa baap ke manoranjan ka natija hoon
Jis desh mein pehda hue ho tum, us desh ke agar tum bakht nahi ... nahi piya doodh maa ka tumne, aur baap ka tum mein rakht nahi
Maa ke doodh mein toh dum hota hi hai ... chahe woh Hindustan ki ho ya Pakistan ki
Maa baap apne bachon par haat uthane ka haq rakhte hai ... par jis din bachon ne apne maa baap pe haat utha diya na ... us din rishtey khatam ho jaate hai
You marry a woman ... you marry her mother
Maa baap zindagi ke pedh ki jadh hai
Joh bachche apne maa baap ko pyar nahi de sakte, sahara nahi de sakte, maan samaan nahi de sakte ... unhe main kabhi maaf nahi karta
Ek baap agar apne bete ki zindagi ka pehla kadam uthane mein uski madad kar sakta hai ... toh wahi beta apne baap ke aakhri kadam uthane mein usse sahara kyun nahi de sakta?
Aaj kal toh maa baap sirf shaadi ki date aur hall ki booking karne ke liye reh gaye hai
Yeh maa baap bhi bade ajeeb log hote hai ... pehle pareshaan rehte hai ki bachcha padhega ki nahi ... phir pareshaan rehte hai ki usse job milegi ki nahi ... phir pareshaan rehte hai ki unki shaadi-waadi hogi ki nahi
Ladki ko bhagake laane mein ek bahut bada faida hai ... ladki baar baar maa baap ke paas jaane ki dhamki toh nahi degi
Yeh sach hai ki janam mujhe bhagwan ne diya ... lekin meri zindagi mere papa ne di hai ... I love you papa, I love you!
by: Unknown
from: Rishtey (2002)
code:
Ghar se door raho toh ehsaas hota hai ... maa kya hoti hai, ghar waale kya hote hai
Mujhe joh karna hai woh main akele nahi kar sakta ... mujhe woh maa chahiye joh mere sar par haath rakhkar kahe ... haan beta tu sahi hai, main tere saath hoon
Maa ka doodh toh har koi peeta hai ... lekin badi badnaseeb hoti hai woh maatayen joh tujh jaise sapole ko doodh pilati hai
Maa ke haath sirf aashirwad dene ke liye hote hai ... maafi mangne ke liye nahi
Jiske paas maa hai uske paas sab kuch hai ... jiske paas maa nahi uske paas kuch bhi nahi
Aap saas bankar hamari zindagi mein aayi ... aur itna pyar diya ki hamari maa ban gayi
Aulad toh saath janam lekar bhi maa baap ka karz nahi utaar sakti
Mana ki duniya mein karodon bache aise hai jinke maa baap nahi hai ... magar is duniya mein karodon maa baap aise bhi hai jinki koi aulad nahi hai
Kehte hai ki jab bachche ke zid baap poori na kar sake ... toh woh apni maa ke paas chala jaata hai
Ajab hai yeh taqdeer ka lekha ... maa aaisi hoti hai ... aaj pehli baar hai dekha
Joh maa baap apne bachchon ke kyun aur kab ka jawab nahi de sakte ... woh kabhi unke dost bhi nahi ban sakte
Main is kisam ki ladkiyon ko badi achchi tarah jaanta hoon ... baap decide karta hai ki kaunse school mein jaana hai ... maa decide karti hai ki kitni chotiyaan bandhni hai ... aur poori family decide karti hai ki kis ladke se shaadi karni hai
Har aurat hamaar maiyya hai aur hum maiyya ka sauda nahi karat
by: Ajay Devgan
from: Lajja (2001)
code:
Mohe toh wohi chori pasand aavegi, joh mori mai ko pasand aavegi
by: Aamir Khan
from: Lagaan (2001)
code:
Zindagi mein agar kuch banna ho, kuch haasil karna ho, kuch jeetna ho ... toh hamesha dil ki suno ... aur agar dil bhi koi jawab na de toh aankhen band karke apni maa aur papa ka naam lo ... phir dekhna har manzil paar kar jaoge, har mushkil aasaan ho jayegi ... jeet tumhari hogi, sirf tumhari
Mere liye maa aur mulk ek hai
by: Sunny Deol
from: Indian (2001)
code:
Jab maa baap pyar ke khilaaf hote hai toh pyar ke dushman nahi ... balki pyar ko aur mazboot karte hai
Beta jab jawan ho jaata hai toh woh apne baap ke swabhiman ko ... abhiman samajhne lagta hai
1 3 4 5 9

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.