dialogues for Tag: Poem
Tag: Poem
Choti choti chitrayi yaadein, bichhi hui hai lamho ki lawn pe ... nange pair unpar chalte chalte itni door aa gaye hai ... ki ab bhool gaye hai joote kahaan utare the ... edi komal thi jab aaye the, thodi si nazuk hai abhi bhi aur nazuk hi rahegi ... in khatti meethi yaadon ki shararat jab tak inhe gudgudati rahe ... sach bhool gaye hai joote kahan utaare the ... par lagta hai ki ab unki zaroorat nahi
Joh lehron se aage nazar dekh paati, toh tum jaan lete main kya sochta hoon ... woh awaaz tumko bhi joh bhed jaati, toh tum jaan lete main kya sochta hoon ... zid ka tumhare joh parda sarakta, khidkiyon se aage bhi tum dekh paate ... aankhon se aadaton ki joh palke hatate, toh tum jaan lete main kya sochta hoon
Ho jeb mein jab sirf pachaas dollar ... pooche kyun sawaal aaise uthake collar ... jode hai humne paise gin gin ... ho sadaa pyara motel "Happy Inn"
Batlaiye kya cheez hoon jisse jahan mehake hai ... lakh sambhalo magar baar baar behake hai ... ishq hai naam uska jisse jahan mehake hai ... tere sandeshe mein joh bulbul ki tarah chehke hai
Bura joh dekhan main chala, bura na milya koye ... joh mann khoja apna, toh mujhse bura na koye
Taambe ko joh sona bana de, patthar mein joh heera tarashe, taqdeer ko talwar bana de, maut ko joh jeena sikha de ... hai kuch aaise log joh jeete hai shaan se aur aazmaate hai apni jaan se ... hai jeetna inki fitrat, jab hathyaar hai inka luck
Zarre zarre mein usika noor hai, jhaank khud mein woh na tujhse door hai ... ishq hai usse toh sab se ishq kar, is ibaadat ka yahi dastoor hai ... is mein us mein aur us mein hai wohi, yaar mera har taraf bharpoor hai
Utamamm dadh-dhadhatt paadham ... madhyam paadham thuchuk thuchuk ... khanishtham thud-thudiya paadham ... sur-suriya pran ghatkam
Rishtey bina hai jis tarah, saaye bina aadmi ... dil ki kisi dori se hai, bandha hua aadmi ... lamba safar umar ka hai, tanha guzarta nahi ... sar par agar dhoop na ho, saaya utarta nahi ... dil ka yeh sikka chal jaane de ... rishta yeh rishta pak jaane de
Akad bakad bambay bo, assi nabbe jaane do, nabbe baad kiya tha joh, gunah hua ab sazaa lo ... akad bakad bambay bo, sazaa hui ab gunah lo
Bhagwa, safed, hara jeevan chakra mera ... karm, satya, dharti maa inhi mein main pala ... Bharatiya main jana, Bharatiya hi chala, Bharatiya main jeeyon, sada Bharatiya rahoon ... bhagwa, safed, hara jeevan chakra mera
Bas ek haan ke intezaar mein raat yunhi guzar jayegi ... ab toh bas uljhan hai saath mere, neend kahan aayegi ... subah ki kiran na jaane kaunsa sandesh layegi ... rim jhim si gungunayegi ya pyas adhoori reh jayegi
Main chala, main chala kabhi is dagar kabhi us dagar ... saath mere chale zindagi ka safar
Jise log kehte hai, Hindustan hai ... yahi apne khwabon ka pyara jahan hai ... kahi mazhabon ka yahan ek nishaan hai ... yeh Hindustan hai, yeh Hindustan hai, yeh Hindustan hai
Ek toh yeh shehar naya, upar se yeh naukri nayi ... aur koi jana pehchana nahi, kisi ke ghar ghusne ka bahana nahi ... ek ajnabi pe bharosa kare, aaisa toh koi zamana nahi ... in short rehne ka thikana nahi
Mudh ke dekho, paas bulao ... paas aaye toh haath pakad lo ... jatpataye toh baal jakad lo ... nazdeek chehra laake uska, kaan mein dil ki baat suna do
Woh obviously computer aur mobile jaanti hai, par roz mannat maangti hai ... kaam mein zimmedar hai, par sabse pehle pariwar hai ... woh sajhti bhi hai, savarti bhi hai, aankhen tezz taraar hai ... par uski muskaan uska sabse bada shringar hai ... honestly I tell you surat bhi hai, khoobsurat bhi hai ... woh Gorakhpur ki Geeta toh hai, par pal bhar mein Bombay ki bombshell bhi ban sakti hai
Jab se tumko jaana hai, tab se tumko chaha hai ... jab se tumko chaha hai, tab se khudko jaana hai ... yahi kehne ke bahane, dhoondta dil deewana hai
Aankhon mein kuch nammi si hai ... chup chup se woh behte hai ... nazuk si nighaon mein nazuk sa fasana hai
Bas ek nigah se ab har nazar tumhari hai ... meri har raah bewaqt rahguzar tumhari hai ... mera har din tumhare naam pe jeeyega sanam ... meri har shyam, meri har subah tumhari hai
Har ek dil yahan ek dil talash karta hai ... wafaa ki, pyar ki manzil talash karta hai ... yahan parwane shama se kareeb hote hai ... haseen nazaron pe shehzaade shaheed hote hai ... yahan dil lene dene ki ada bhi kaatil hai ... yahan ke vaade bahut dil-nasheen hote hai ... joh bekaraar kare woh karaar kehte hai ... is bazar ko Meena Bazar kehte hai
Allah ke noor se chalka hai chehra ... yeh kaisi bandagi banta hai chehra ... joh kal tak ajnabi anjaan sa tha ... hamari zindagi banta hai chehra
Main seedhe sadhe dhang se kehta hoon apni baat ... ek ghar basana chahta hoon main tumhare saath ... kya dogi mere haathon mein bolo tum apna haath
Zindagi luta doon joh ek baar tu muskura de ... kuch nahi mera sab kuch teri hassi ke aage ... aankhon ki yeh nammi tere gham yeh sabhi, aaja dede mujhe meri jaan ... kareeb aa, kareeb aa ... sach kahunga main ... tera saath doonga main ... koi mushkil ho sab kuch sahunga main ... raaste, faasle, keh rahe hai sun bhi le ... tere saath rahunga main ... tere saath rahunga main
Woh kehte hai mera desh uska nahi, phir kyun mere ghar woh rehti hai ... woh kehte hai main us jaisa nahi, phir kyun mujh jaisi woh lagti hai
Woh kehte hai ki woh koi nahi thi, phir kyun mere liye duniya se woh ladti hai ... woh kehte hai main us jaisa nahi, phir kyun mujh jaisi woh lagti hai
Woh kehte hai yeh tera desh nahi, phir kyun mere desh jaisa lagta hai ... woh kehta hai main us jaisa nahi, phir kyun mujh jaisa woh lagta hai
Tera mera sheeshay ka ghar ... phir kyun dono ke haath mein patthar ... main bhi soochon, tu bhi sooch ... kya tujhe maloom na tha leheren aati hai, jaati hai ... phir bhi kyun likha naam ret par ... tu bhi sooch, main bhi soochon ... kyun teri behen beti ghar mein aur kisi ki bazaar mein ... tu bhi sooch, main bhi soochon
Jaane jahan tujhe kya kahoon ... mere khawabon mein, meri baaton mein, meri neendon mein, meri raaton mein bas tu hi tu ... jaaneman meri zindagi hai tu
Waqt do haathon par chalta rehta hai ... ek sa rehkar badalta rehta hai ... har koi uska hamrahi, par soona hai uska raasta ... har kisi se hai rishta, par kisi se nahi vaasta ... waqt, rakht ki tarah behta waqt
Kabhi mujhko hasaye, kabhi mujhko rulaye ... mujhe kitna sataati hai ... woh ladki bahut yaad aati hai
Kholo kholo apni aankhen aur gaur se suno ... dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahti hoon ... ek boond suraj ki, ek qatra aasman ka, koyal ki aadhi kook aur kuch jagmagate sapne ... achcha lage toh aur maango ... dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahti hoon ... aasman sa aaina, ek dibbi titliyon ki, ek chamach nadi ki dhar aur ek mutthi zindagi ... achcha lage toh aur maango ... dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahti hoon
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
