Page 5 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag:

Tag:
5 (of 9 pages) | 32 (of 262 items)
1 4 5 6 9
Woh obviously computer aur mobile jaanti hai, par roz mannat maangti hai ... kaam mein zimmedar hai, par sabse pehle pariwar hai ... woh sajhti bhi hai, savarti bhi hai, aankhen tezz taraar hai ... par uski muskaan uska sabse bada shringar hai ... honestly I tell you surat bhi hai, khoobsurat bhi hai ... woh Gorakhpur ki Geeta toh hai, par pal bhar mein Bombay ki bombshell bhi ban sakti hai
Yeh Dubai hai ... yahan reham nahi, sirf paisa aur luck chalta hai
Mumbai ... suna tha aadmi yahan poori zindagi apni kismat slow track se fast track laane mein nikaal deta hai
Tere honthon ka kaala til joh nashtar bankar chubta hai ... karoon kurbaan Samarkandon Bukhara iske badle mein
Badhe sheharo ki hawa aur chote sheharo ka pani ... bada khatarnak hota hai
America phone karke dollaran manga letu ... dollaran, dollaran, dollaran
Mumbai nagariya, maya ki nagariya ... idhar har type ka aadmi milta hai ... aur har aadmi ka alag alag type se vaat lagta hai
Yeh Bombay hai ... yahan time ka matlab hai paisa ... mujhe tees minute journey teen minute mein poori karni hai
Kya cheez hai Mumbai, aamchi Mumbai ... woh vada pav ki chutney, woh Mahim ki phirni, woh local train ke dhakke, woh signal pe chakke ... woh traffic, woh kooda, woh kachra, woh auto taxi ka nakhra ... woh machi waali ka jhagda, woh bhel, woh pani-puri, woh ragda ... woh Wadala, woh Chakala, woh Bandra, kahin Sakku bai toh kahin Sandra ... woh aunty ka adda, saala main road pe hich khadda ... yaar jaisa bhi hai ... aamchi Mumbai toh aamchi hai yaar
Yahan ki pani puri, poore Mumbai mein world famous hai
Gooooood mooooorning, Muuuuuumbaaaai!
Jab badle ki baat aati hai ... toh Dubai return Rana jail se bhi return aa sakta hai
London ka mausam aur London ki ladkiyan inka koi bharosa nahi hai ... yeh kabhi bhi rang badalte rehte hai
Har ek dil yahan ek dil talash karta hai ... wafaa ki, pyar ki manzil talash karta hai ... yahan parwane shama se kareeb hote hai ... haseen nazaron pe shehzaade shaheed hote hai ... yahan dil lene dene ki ada bhi kaatil hai ... yahan ke vaade bahut dil-nasheen hote hai ... joh bekaraar kare woh karaar kehte hai ... is bazar ko Meena Bazar kehte hai
Haath mein hai heeron ka haar ... aur hum dhoond rahe hai Zaveri Bazaar
by: Unknown
from: Shikhar (2005)
code:
Choona jamke padna chahiye, chahe paan ho Banaras ya Kolkate ka ... saboot tagda hona chahiye, chahe thank you bolna pade kisi bhi ullu de pathe da
When in the Rome ... do the Romans
Mumbai ek aaisi machine hai joh din raat chalti rehti hai
Aaj kal aaise bade sheharo mein jeene ke liye kisi ko jaan se maarne se zyada ... jaan se maarna aana bahut zaroori hai
Bambai mein ek hi kaam ho riya ... khao vada pav, bhajjiya ... bolo Ganpati Bappa Morya
Kaika Dilli hai bhaiya, dil toh hai hi nahi kisi ke paas
by: Vijay Raaz
from: Run (2004)
code:
Mumbai ... ek aaisa station jahan koi bhi musafir kabhi akele nahi utarta ... uske saath koi na koi sapna zaroor utarta hai
by: Sanjay Dutt
from: Plan (2004)
code:
Is shehar ki khushboo woh bheeni bheeni raat ... bhatke sari duniya, na mili Lucknow waali baat
Maut aur Mumbai se koi lautke nahi aata
Vimaan mein emergency ke char dwar hote hai ... aage do dwar, peeche do dwar ... charon na khule toh Haridwar
Yeh shehar bhale hi chain ki neend soye ... par aaj ke baad tu kabhi chain ki neend nahi soyega
Ek doonga rakhke mooh pe ... soo jayega Juhu pe
by: Unknown
from: Xcuse Me (2003)
code:
Inki gardan kaatku, kundi banaku, phool naku sajai ... toh mai bhi Hyderabad ki nahi
Mai Hyderabad ki potti ... aankhan nikaal ke goti khelti goti
Mumbai shehar ki har bimaari hum mein dekh kar bhaag jati hai
by: Unknown
from: Qaidi (2002)
code:
(Tum kya tofha dogi mujhe?) ... Delhi ka dil, Mumbai ki mohabbat, Chennai ki chahat aur Punjab ka pyar
Kamaal ka country hai America ... hum powder lagate hai aur woh powder khate hai
1 4 5 6 9

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.