Page 7 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag:

Tag:
7 (of 12 pages) | 32 (of 380 items)
1 6 7 8 12
"Karo ya maro" ... hum Bharat ko azaad karenge ya phir ussi koshish mein apni jaan dedenge
Sirf Hindustan chhoda hai ... Hindustaniyat nahi
Is team ko sirf woh players chaiye jo pehle India ke liye khel rahe hain, India ... phir apni team mein apne saathiyon ke liye ... aur uske baad bhi agar thodi bahut jaan bach jaye toh apne liye ... state government ki naukri ya railway flat ke liye nahin
Apne hi desh mein mehmaan bankar koi khush kaise ho sakta hai
Pehli baar kisi gore ko India ka tiranga leharate hue dekh raha hoon
Mujhe states ke naam na sunai dete hai na dikhai dete hai ... sirf ek mulk ka naam sunai deta hai I-N-D-I-A
Koi bhi desh perfect nahin hota ... usse behtar banana padta hai
Mujhe hamesha lagta tha ki duniya mein do tarah ke insaan hote hain ... ek joh chupchap maut ka daman thaam lete hain ... aur doosre joh rote chilaate maut ki taraf badhte hain ... aur phir main teesre kisam ke insaanon se mila
Ab bhi jiska khoon na khaula, khoon nahin voh paani hai ... joh desh ke kaam na aaye woh bekaar jawani hai
Desh toh apna ho gaya hai ... lekin log paraye ho gaye hain
Bina keemat chukaye is duniya mein kuch haasil nahi hota ... aur azaadi ki keemat hai shahadat
Gaaziyon mein boo rahegi jab talak imaan ki ... takht-e-London tak chalegi teg Hindustan ki
Tum mujhe khoon do ... main tumhe azaadi doonga!
Yeh azaadi ki ladai hai ... ghuzre hue kal se azaadi ... aane waale kal ke liye
Mard marta hai toh apni aankhen tirange ki taraf karke marta hai ... aur yeh sochta hai ki phir se is desh ke liye kab pehda hoon
Woh kehte hai mera desh uska nahi, phir kyun mere ghar woh rehti hai ... woh kehte hai main us jaisa nahi, phir kyun mujh jaisi woh lagti hai
Woh kehte hai yeh tera desh nahi, phir kyun mere desh jaisa lagta hai ... woh kehta hai main us jaisa nahi, phir kyun mujh jaisa woh lagta hai
Main nahi manta hamara desh duniya ka sabse mahaan desh hai ... lekin yeh zaroor manta hoon ... ki hum mein kabliyat hai, taqat hai, apne desh ko mahaan banane ki
Paiso ke liye aatankwadi ladte hai, sipahi nahi ... sipahi sirf apne vatan ki izzat aur mulk ki hifazat ke liye ladte hai
by: Arbaaz Khan
from: Garv (2004)
code:
Main maut ko takiya, aur kafan ko chaadar banakar audhta hoon
by: Salman Khan
from: Garv (2004)
code:
Farhan yeh mulk hamara hai ... jitna yeh Hindu ka hai utna yeh Musalman ka bhi hai ... Sikh ka bhi hai, Isahi aur Parsi ka bhi hai
by: Pramod Moutho
from: Dev (2004)
code:
Apni dharti se gaddari karna ... matlab apni maa ke saath gaddari karna
Shakti joh hai woh police, fauj, hathyaron mein nahi hoti ... desh ki shakti uske rajnaitik dhanche mein hoti hai, uski economy mein hoti hai, uski nyay pranali mein hoti hai ... samaaji barabari aur mazhabi bhai-chare mein hoti hai ... aur yeh sab kuch hum mein hamara samvidhaan hum mein deta hai
Maut ke mandiyon mein ja-jakar apne beto ki boliyan di hai ... desh ne jab bhi ek sar manga, humne bhar-bharke jholiyan di hai
Jis desh mein pehda hue ho tum, us desh ke agar tum bakht nahi ... nahi piya doodh maa ka tumne, aur baap ka tum mein rakht nahi
Aao jhuk kar salaam kare unhe jinke hisse mein yeh mukaam aata hai ... kis kadhar khush naseeb hai woh log ... khoon jinka watan ke kaam aata hai
Ek hi toh mulk hai ... jahan Hindustan se gaye huye har aatankvadi ko kaha jaata hai ... khushamdeed, khushamdeed
Jab baat Hindustan Pakistan ki ho rahi ho ... toh har Hindustani ek hi taraf hota hai
Banegi ek nayi tareekh, surkhiyon mein likhega zamana ... apne watan ke khatir, jaan par khel gaya Parwana
Janam dene waali sirf maa hi nahi ... mitti bhi hoti hai
A soldier lives by chance, loves by choice and kills by profession
Pardes mein rehne se apna khoon paraya nahi ho jaata
1 6 7 8 12

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.