dialogues for Tag: Drama
Tag: Drama
Kaante sirf zakhm de sakte hai ... khushboo nahi de sakte
Sache police ki ya toh maut hoti hai ... ya toh suspend kiya jaata hai
Kaunsa kanoon, kaisa kanoon ... yeh kanoon toh chand mujrimon ki rakhail ban behta hai
Apna toh ussool hai ... pehle mulaqat, phir baat, aur phir agar zaroorat pare toh laat
Hum aankhon se soorma nahin churate ... hum aankhen hi chura lete hain
Hamari zabaan bhi hamari goli ki tarah ... dushmanon se seedhe baat karti hai
Hum kisi se bhi, kisi waqt bhi, kahin bhi mil sakte hain ... hamara jab dil chahe
Apna toh ussool hai ... pehle laat, phir baat, uske baad mulaqat
Mangalsutra zaroor gale mein pehna jaata hai ... magar iska rishta saanson se juda hota hai
Agar tere paas nafrat ki taqat hai ... toh mere paas ab mohabbat ki shakti hai
Mere mooh se nikla har lafz ... heere se zyada keemti hai
Bazaar mein behti tawaif aur aapke kanoon ke rakhwaalon mein koi fark nahi hai ... fark hai toh sirf itna, ki woh apna jism bechti hai aur yeh apna imaan
Jawaani ki pasand ko tajurba aur dil ki pasand ko dimaag agar tol le ... toh thokar nahi lagti
Pehle yahan dher saare tourist aaya karte the ... ab terrorist hi aate hai
Sadak pe tamasha karne waala aur dekhne waala ... dono ka taqdeer kharab hai
Sachai aur imaandari ki buniyaad par jhoot aur fareb ka mahal bahut dino tak nahi tik sakta ... woh gir jaata hai
Shukriya toh gairon ka ada kiya jaata hai ... apno ka nahi
Saatve asmaan ko choone ki koshish karte karte ... yeh main pataal mein pahunch gaya hoon
Parampara ko na koi talwar kaat sakti hai, na koi aag jala sakti aur na waqt badal sakta hai
Peetal par sone ka pani chadene se ... peetal sona nahi ban jaata
Ek maa ki fariyad jab woh dil cheerkar, aasunyon se nahakar nikalti hai ... toh joh cheez aag aur tezaab se jalti ... usse jala deti hai
Agar sharifon ki betiyon ke liye pati ka ghar puja ka mandir hai ... toh tawaifon ki betiyon ke liye toh pati ka ghar na jaane kitne mandiron ki pujaon ka phal hai
Tawaif aur titli mein koi farak nahi hota ... titli bhi ek phool par nahi tikti aur tawaif ek mard par
Yeh woh shehar hai jahan sasta khoon aur mehanga pani hai ... apni pyaas bhujane ka hai toh apne aasoon se bhuja ... aasoon pee aur jee
Dil ke zakhm, dawao se nahi bharte
Taqdeerein badalne ke liye ... ek lamha bhi kaafi hota hai
Jin musafiron ki manzilein alag alag ho jaye ... woh saath saath nahi chala karte
Pyar ka teer waqt ka mohtaj nahi hota
Mere haath lohe ki zanjeer se nahi ... dosti ke dhaage se banda hai
Waqt aur kismat badalne mein derr nahi lagti
Itna mat sooch ... sooch gehri ho jaaye ... toh faisle kamzor ho jaate hai
Kabhi kisi se aaisa mazaak mat karna ... jisse uski duniya ujhad jaye ya uski jaan chali jaye
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
