dialogues for Tag: Drama
Tag: Drama
Sabhi badhe hote hai ... magar koi apne badhon se bada nahi hota
Farz ko nibhate huye jeena hi hamare jeevan ka karz hai
Hamari duniya mein pehla mauka hi aakhri mauka hota hai ... chahe jeene ka ho, chahe marne ka
Zulm aur atyachar se tum mere shareer ko khatam kar sakte ho ... lekin insaaf aur nyay ke liye pukarti hui meri aatma ki awaaz nahi daba sakte
Vishvas ek bahut hi nazuk sheesha hota hai ... ek baar toot jaye toh dobara judta nahi
Insaan ke bheetar se shaitan janam leta hai ... wafaadar ke khoon se baaghi pehda hota hai
Bachpan ki buri aadatein aur buri baatein insaan ko bura bana deti hai
Baghavat mein teen kisam ke log hote hai ... pehla taqat ke zor pe zulm karne waala atyachari ... doosra us atyachari ke khilaf awaaz uthane waala krantikari ... aur teesra in dono ki situation ka fayda uthane waala mere jaisa vyapari
Kya ishq ka khoon kisi sahukar ke paan ki pichkari hai ... kya tumhari zindagi zindagi, hamari zindagi bimari hai ... tumhara khoon khoon, hamara khoon pani hai ... tumhara naam naam, hamara naam gaali hai ... tum karo zulm toh woh sarkari hai ... aur hum kare fariyad toh woh gaddari hai
Jis tarah zameen par pair rakhe bagair insaan chal nahi sakta ... us hi tarah mujrim kanoon se bhaag sakta hai, lekin bach nahi sakta
Aurat ki izzat par agar ek baar daag lag jaye ... toh woh kabhi nahi dhul sakta hai
Jinke paas zabaan nahi hoti ... woh aksar aasoonyon se baatein karne lagte hai
Mamta ki koi zaban nahi hoti ... naa hi pyar ki koi tasveer hoti hai
Apne zulm ki takat par itna naaj na karna ... kyun ki tumhari napak hasti ko nestonabud karne waala paida ho chuka hai
Uparwaala kisi ko sazaa dene ke liye khud chalkar neeche nahi aata ... ussike kehane se koi insaan zulm aur sitam ka muqabla karne ke liye uthta hai ... aur aaj main zulm ko khatam karke hi rahoonga
Josh mein mat aao varna hosh kho baithoge
Judai ka gham jitna hoga ... milan ka mazaa utna hi zyada hoga
Kehte hai sapne mein kisi ko mara hua dekho ... toh uski umar badh jaati hai
Insaan ki achchai aur burai ... ameeri aur gareebi ke palhade mein toli jaati hai
Meri nazar padne se pehle isse itni door le jana ... ki hawa bhi iska pata mujh tak na pahuncha sake
Zameen kisaan ki maa hoti hai
Joh bhi Thakur ko intezaar karne ko kehta hai ... woh uski zindagi ki ghadi bandh kar deta hai
Ab yeh haath chori ke maal ka bhoj nahin ... balki hathkari ka bhoj uthayenge
Aainda khayal rakhna ki josh mein zabaan na ladkhadaye ... warna apne hosh kho baithoge
Kahi apne begaane ho jaate hai ... aur kahi begaane apne ho jaate hai
Khana hai toh chaata bhi kha lo ... magar byaj ke saath vapas karo
Gareeb ka gareeb se toh woh rishta hota hai ... joh bhai ka bhai se nahi hota ... bete ka baap se nahi hota
Uparwaale ki lathi mein awaaz nahi hoti
Bahadur ko uski bahaduri fasati hai ... aur darpok ko uska dar
Dushmani karo toh dushman ko raaste ka bhikhari bana do ... taaki woh haath failaye, haath utha na sake
Gareeb ki kismat us par kuch dino ke liye meherbaan toh ho sakti hai ... magar hamesha ke liye savar nahi sakti
Duniya mein gareeb pehda hona koi jurm nahi, koi paap nahi ... magar gareeb marna sabse bada jurm hai, sabse bada paap hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
