dialogues for Tag:
Tag:
Bhagwan sansar mein har jagah har ghadi nahi reh sakta ... is liye usne apne badle ghar ghar mein maa ko pehda kiya hai
Yam hai hum ... hum hai Yam!
Hamare yahan toh yamdoot bhi hamari ijaazat ke bina nahi aa sakta
Darye us bhagwan se ... sabse badi goli hoti hai uske paas joh bewaqt chalti hai
Aaj ke is kalyug mein ... tumhara bhagwan bhi is shaitan se darta hai
Tujhe maaf karne waale ko toh bhagwan bhi maaf nahi karega
Atma toh pehle hi kisi aur ki ho gayi hai ... reh gaya yeh shareer, isse bhagwan ko arpan kar dete hai
Meri teen baatein yaad rakhna bete ... sachai se kabhi mooh modna nahi, zulm ke aage kabhi jhukna nahi, dil ki pehli awaaz sunna ... kyun ki pehli awaaz parmatma ki hoti hai ... bad mein shaitan bolta hai
Pyar jab bagawat par utar aata hai ... toh koi taqat usse nahi rok sakti ... na insaan ki, na kudrat ki
Jis tarah mazab-e-islam mein haraam hai suvar khana ... jis tarah hindu dharam mein paap hai gaye khana ... in sabse bada gunaah hai ... mard hokar kisi aurat ke jism ki kamai khana
Itne tukde kar doonga ... ke usse doobara janam dene ke liye ek baar bhagwan bhi sooch mein padh jaye
Hum bhale hi upar waale ko alag alag naam se pukarte hai ... lekin hamara dharam ek hai mazhab ek hai ... insaniyat
Upar waala bhi upar se dekhta hoga toh usse sharam aati hogi ... sochta hoga maine sabse khoobsurat cheez banayi thi, insaan ... neeche dekha toh sab keede ban gaye ... keede!
Jinke badan kagaz ke hote hai woh agni devta ki puja nahi karte
Sirf khoon ke rishtey se koi bhai nahi ho jata ... bhai ek adarsh hota hai, mujrim nahi ... bhai Ram hota hai, Ravan nahi
Bhagwan rehta hai mandir mein, woh uska ghar hai ... panchi rehte hai amber mein, kyun ki woh unka ghar hai ... amir aadmi rehta hai mehalon mein, kyun ki woh uska ghar hai ... toh phir itni badi duniya mein ek gareeb aadmi kahan rahega?
Idhar ja rahe ho yah udhar ja rahe ho ... kidhar bhi ja rahe ho ... sab raasta God ke paas jata hai
Jab jab dharti par paap badha ... tab tab uska vinaash karne ke liye swayam Krishna ne janam liya
Agar upar waale ne maut likhi hai toh zindagi kuch nahi kar sakti ... aur agar zindagi likhi hai toh maut kuch nahi kar sakti
Rehmat-e-khuda ki jis par ho barasti ... uski kya mitta sakega koi hasti
Tu ek aaisa shaitaan hai jisse upar waale ne galati se insaan ki shakal mein neeche bhej diya ho
Jis bhagwan ko tu maanta hai ... uske saamne aaj aakhri baar apne haath uthakar dua maangle ... kyun ki aaj ke baad tere haath kabhi nahin uthenge
Na talwaar ki dhaar se, na goliyon ki bauchaar se ... banda darta hai toh, sirf parvar digaar se
Bechkar imaan kamai daulat toh insaan kya ... namak khaya jis watan ka, ussi ka na hua toh Musalman kya
Yahan Punjabi hai, Gujarati hai, Marathi hai, Bangali hai ... lekin Hindustani koi nahi hai
Yahan tourist guide, jyotish wala, ayurved wala, allopathy, homeopathy, Sitapati, Ganpati, Laxmipati sara main hi hoon ... all in all main hi hoon
Hindu ko namaskar nahi bolega, Musalman ko salaam nahi karega, Christian ko good morning nahi bolega ... kyun ki apan yahan language ka lafda karne nahi aiyla
Main sirf teri jaan lena nahi chahta ... main yeh chahta hoon ki tu tadap tadapkar mare ... guzarne waala har pal tujhse kahe ki yamdoot tere peeche peeche aa rahe hai
Jaako raakhe saaiya maar sake na koi ... aur jaako maare saaiya usse bacha sake na koi
Main yoon hi bekhudi mein keh gaya hoon dilruba tumko ... khuda ka khauff na hota toh keh deta khuda tumko
Faanoos banke jiski hifaazat hawa kare ... woh shama kya bhuje jise roshan khuda kare
Mere liye Lakshmi Devi, Saraswati Devi, Durga Devi, Kali Devi, duniya ki har devi joh hai ... woh hai insaaf ki devi
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
