dialogues for Tag:
Tag:
Kutta bhi lakh bura ho ... wafaadari nahi chodta
Dahej dimak hoti hai ... ghar mein basne se pehle hi ghar ko khokla kar deti hai
Arjun jab chidiye ki aankh ka nishana lagata hai ... toh usse chidiye ki aankh ke siva kuch dikhayi nahi deta
Agar naali ke keeday ko duniya bhar ka sabun ikattha karke bhi saaf kiya jaye, usko dhoya jaye ... toh bhi woh gande ka ganda hi rahega
Vishvas mat karna ispe, naqli hai iska jhanda ... kabhi kutte ke pet se nikla hai murgi ka unda?
Keechri uttare huye zeharilay saanp ko dekhkar reham khana ... aur paschatap ka dhong rachane waale zalim ko maaf karna jurm hai
Isaaniyat ka dhood pilane se saanpon ka zehar aur badhta hai
Main teri itni botiyan karoonga ... ki aaj gaon ka koi bhi kutta bhookha nahi soyega
Maa ka khoon chaatne wali kutte jaisi zabaan se main apna naam nahi sunana chahta
Shera ki suvar ki khopdi mein lomdi ki tarah chalaak dimag hai ... pahad khodkar chuha nikaal leta hai ... kabar khodkar murda nikaal leta hai ... aur aatma ka gala dabakar parmatma ka pata nikaal leta hai
Kabab mein haddi toh suna tha ... yeh saala poora bakra kahan ghus aaya
Main woh bala hoon joh jooton se tum jaise kutton ke sarr phodta hoon
Joh sher bhagwan se nahi darta ... woh bhagwan ke kutto se kya darega
Jahan sher ki hukumat chalti hai ... wahan chote mote janwaro ka aana jaana mana hai
Khat kabutar kis tarah le jaye bam-e-yaar par ... par kattarne ke liye hai kaichiyan deewar par ... jawab hai ki khat kabutar is tarah le jaye bam-e-yaar par ... khat ka mazmoon ho paron par, par katte deewar par
Ek bakri hokar tune sher ki jabde mein haath daala hai
Hum unlogo mein se nahin hai, joh saanp ka sar kuchalkar usse maar dalte hai ... hum unlogo mein se hai, joh saanp ka sar pakad lete hai aur uske baad uske zehrile daanton ko nikaalkar ... usse nachate hai aur paisa kamate hai
Mere hi kutte ne mujhe kaata
Ghodi aur jawan ladki ki lagaam zara kaske rakhni chahiye
Kutte ke aage haddi aur gareeb ke aage paisa ... jab daal diya jaata hai toh woh dumm hilane lagta hai
Humne saanp ko doodh pilaya ... par hum doodh pila sakte hai, toh uska sar bhi kuchal sakte hai
Apne aadmiyon se kaho ke bandookein phenk de ... nahi toh goli chalegi Naagraj ... aur teri khopdi mein itna bada suraag ban jayega ... jiske andar naag apna bil banayega
Sher ke mooh ko jab insaan ka khoon lag jaata hai ... tab usse kisi aur janwar ke shikaar mein mazaa hi nahi aata hai ... issi tarah ek baar jurm ki kamai khoon mein utar jaaye ... toh halaal ki kamai khane mein mazaa hi nahi aata hai
Main aadmi ke dimag ko bhi kaabu mein kar sakta hoon ... uske baad koi bhi aadmi kutte ki tarah dum hilakar mere ishaaron par chalne lagta hai
Apun kutte ki woh dum hai joh barah baras nalli mein daalke rakho ... nalli tedhi ho jayegi ... apun seedha nahi hoga
Kutton aur bikhariyon ka andhar aana mana hai
Main unko yunhi nahi maar daloonga ... bahut khel khelke maaronga ... jaise billi chuhon ko maarti hai
Ajeeb janwar hai ... kitna bhi khaye bhookha hi rehta hai
Jis jurm par mera naam likha jayega uspar tumhara naam pehle se likha hoga ... aur jis gali mein main kutte ki maut maara jaonga ... us gali mein ek bahut bada kutta pehle se mara pada hoga
Teri tabiyat toh hamesha murghi ki tarah khauff ke ande diya karti hai
Ab toh baat hi baat hai, har taraf chandni raat hai, khushiyon ki barsaat hai, tera aur Kavita ka zindagi bhar ka saath hai, teri aane waali baraat hai, sari jaidaad apne haath hai ... aye kabootar rone ki kya baat hai?
Waqt aane par na dushman ko chhodna chahiye ... na saanp ko dekhkar laathi ko todna chahiye
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
