dialogues for Tag: Rowdyism
Tag: Rowdyism
Hum mafia is pani ki tarah hai ... dosti ki mithaas mila de, amrit ban jayega ... dushmani ka zehar gholega, jaan lelega
Jeena agar joh chaho, toh door humse rehna ... tum maum se bane ho, hum aag se bane hai
Agar koi bhi aadmi vote dene gaya toh woh hamara gunahghar hoga ... aur uski sazaa maut hogi
Hamari duniya daulat aur maut ka woh chakravyuh hai ... jis mein ek baar dakhil ho jao, toh koi vapsi nahi
Is shehar ki kisi bhi adalat mein woh typing machine nahi hai ... joh warrant par Baba ka naam type kar sake
Agar aap log mera saath chhodkar gaye ... toh zindagi aap logon ka saath chhod degi
Joh humri marzi ke bagair, humre ilaake ki zameen pe apna kadam rakhta hai ... woh apne kadmon pe nahi, balki doosron ke kandhon pe lautke jaata hai
Usse kahin kuch ho gaya toh saara khoon kheenchkar teri nasson mein itna barood bhar doonga ... ki tu zindagi bhar jalta rahega
Tumhe chaubees ghante ki mahulat di ... jeena chahte ho toh aakar mujhe us aadmi ka naam bata dena ... varna tumhari is bachi-kuchi zindagi ko pacheesva ghanta dekhna naseeb nahi hoga
Deva ki adalat mein sazaa jitni der se milti hai ... maut utni hi dardnak hoti hai
Hamare is kaale dhande mein zindagi aur maut ka khel toh chalta hi rehta hai
Tu jaanta nahi hai apun ko ... yeh area mein apun world famous hai ... world famous
Arre yeh theater hai ki koyle ki bhatti ... aye fan chalu kar reh
Panga unse liya jaata hai ... joh apne se zyada taqatwar ho
Tu is duniya mein first time aake itna nahi roya hoyenga ... jitna tu aaj is duniya se jaate time royenga
Dil mein ghusne se pehle ladki log knock kaiko nahi karta hai re?
Yeh apun ka style hai kya ... jiyo toh seena taan ke jiyo ... maro toh seena taan ke maro
Yeh na samajhna ki samne koi murdaar khada hai ... kehte hai jisse Chauhan yeh tumhara baap khada hai
Hamare yahan toh yamdoot bhi hamari ijaazat ke bina nahi aa sakta
Aaj ke zamane mein achcha insaan ban jaana bada risk hai
Shehar jalta hai toh jalne do, yeh aag humne hi lagai hai ... log marte hai toh marne do, yeh apni khudai hai
Hamare haath wahan tak pahunchte hai ... jahan aaj tak science bhi nahi pahunch pai
Is shehar mein sikka sarkar ka zaroor chalta hai ... magar raj apna hai
Hisaab kitaab ke tarazu ke dono palhalde agar barabar nahi hue na ... toh main apna ek account kholta hoon ... aur uska naam hai dhulai account
Duniya mera ghar hai, bus stand mera adda hai, jab mann kare aa jana, Raju mera naam hai ... aur pyar se log mujhe bulate hain ... coolie no. 1
Jitna woh Negi ko tarsayega ... utna hi Negi usse tadpayega
Gurrao mat ... hamare samne joh gurrate hai ... hum unki khaal udhadwakar us mein bhusa bharwa dete hai
Kal tak main supari leta tha doosro ko khatam karne ke liye ... lekin aaj maine apne aap ko supari di hai tujhe khatam karne ke liye
Abhi mera haath tere sar pe hai ... agar yeh haath utarkar gardan pe aa gaya na, toh tera maut ban jayega ... agar yeh haath gardan se aur neeche aa gaya na, toh na zindagi rahegi na maut
Yahan koi aa nahi sakta ... aur agar aa jaye toh apni marzi se jaa nahi sakta
Main khata hoon vegetarian aur kaam karta hoon non-vegetarian
Jis tarah yamraj ko sirf yamlok hi dekh sakta hai ... ussi tarah Madam X ki shakal bhi sirf uska apna samraj hi dekh sakta hai ... joh bhi hamari jhalak dekhne ki jurrat karta hai ... woh jalkar aaise dhuan ho jaata hai ki na zameen ko uski khaak milti hai, na hawaon ko uski raakh
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
