dialogues for Tag: Shayari
Tag: Shayari
Dil mera pehli baar zor se dhadka hai ... unki ek jhalak milte hi life mein chha gaya filmy romance ka tadka hai
Hum bhi chal rahe the ... saaye bhi wahan the ... ishaare the kitne ... samajhdaar kahan the
Bhuji ko raakh kehte hai, jali ko aag kehte hai ... jisne tumhe bachaya usse Lallan ka dimaag kehte hai
Without ticket passenger hamesha dara dara sa lagta hai ... saawan ke andhe ko charon taraf hara hara sa lagta hai
Din mein vaade karte hai, raat mein jagte hai ... darr yeh hai ke aapke iraade mujhe nek nahi lagte hai
Tere husn ki laali mane deewana bana rahi hai ... jahan dekh raha hoon tu hi tu nazar aa rahi hai
Umar toh kasrat karne ki hoti hai ... hasrat karne ki nahi hoti hai ... aazmana hai toh ab bhi aazma sakti hai ... aur shamma jab tak bhujti nahi aag laga sakti hai
Jab jab is dharti pe Sita haran karne ke liye koi Ravan aayega ... tab tab Ram ka saath dene ke liye yeh Hanuman aayega
Teri tarah khuda ke ghar mein khoon bahana nahi ek sache musalman ki fitrat hai ... ruka hoon tere parvardigar ke, bahar aa agar tujh mein himmat hai
Holi utni hi khelo jitna gulaal ho ... aur namak halaali karte karte na khud halaal ho
Husn hazir hai mohabbat ki saza paane ko ... tere ishq mein marke dikha dungi zamane ko
Aisa kabhi socha na tha yeh anjaam hoga ... ek waqt ka badshah aaj ghulam hoga
Mandir aur masjid dono milenge ... guzrega is desh ki jis gali se ... madad milegi har kisi ko ... maango ya Ali se ya Bajrangbali se
Woh milta hai mushkil se joh sacha hota hai ... mil jaaye lekin jab sab accha hota hai
Salaam-e-ishq meri jaan nahi qubool tujhko ... par tujhse pyar karne ki qubool hai bhool mujhko
Jaati na poocho saadu ki, pooch lijiye gyaan ... mol karo talwar ka, pada rehan do myaan
Zyada bhala na bolna ... zyada bhali na choop ... zyada bhala na barasna ... zyada bhali na dhoop
Dil toot gaya saansein gayi tham ... meri zindagi kuch barbaad si hai ... dil toot gaya toh kya ... woh khush hai khushi is baat ki hai
Woh jaa rahi thi humse door kuch is qadar ... jaise saansein chhodkar zindagi jaa rahi ho
Mohabbat ki bebasi ko kah kahe mere dost ... ki baanh mein koi aur hai aur chah mein koi aur
Todh dunga har tarazu, tu mujhe kya tolega ... tere kaale noton ki raid lag gayi, ab yeh sikka mera bolega
Dil tune kuch aisa kar daala ... na jee raha hoon na mar raha hoon ... yo kya ho gaya saala
Tumhari zulf ke saaye mein shaam kar longo ... aur safar ek umr ko tamaam kaam kar longo ... aur nazar milai toh pochongo ishq-o-anjaam ... aur nazar jukai toh khali salaam kar longo
Qaid mein hai zindagi, azaad ho jaa ... mohabbat mein chal barbaad ho jaa ... teri shehad si awaaz ko kaano se chakk loon ... tu mere ishq ka meetha swad ho jaa
Dil kehta hai unse mil ... dimag kehta hai duty ke baad mil
Milke tujhe ban gaya hoon ... na milta toh adhoora reh jaata ... sang chalta zamane ki bheed mein ... na jaane kis raah pe jaata ... main adhoora reh jaata
Chaand nikla hai zamane ke baad ... maza aa gaya hai aapke aane ke baad
Dilon ki baatein dilon ke andar zara si zid se dabbi hui hai ... main sun'na chahun zubaan se sab kuch ... woh karna chahe nazar se battiya
Yeh sochna galat hai ki tum par nazar nahi ... masroof main bahut hoon magar bekhabar nahi
Apni chaukhat ka chirag jale na jale ... yaaron ka aashiyan roshan rahe
Dhai din ki dophari ... shaam raat amavas ki ... sheesham ke ghode par hoke savaar ... aayegi shaamat gunehgaron ki
Aazadi hai gunah toh kubool hai saza ... ab toh hoga wohi joh hai manzoor-e-khuda
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
