Page 3 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag: Poem

Tag: Poem
3 (of 9 pages) | 32 (of 260 items)
1 2 3 4 9
Ek katra jab zara sa ubharta hai, toh samundar ke lehje mein baat karta hai ... chhaton ke diye kab ke bhuj gaye hote, koi toh hai joh hawa ke par kattarta hai ... aur zameen ki koi vakalat nahi chalti, jab koi faisla aasman se utarta hai
Yeh kaisi khwahish, yeh kaisa ehsaas hai ... joh waakif na tha kal tak woh har lamha ab mere pass hai ... yeh kaunsa rang hai, yeh kiska sang hai, yeh kaisa saaz hai, yeh kiski awaaz hai ... kyun neend ab pareshan si aati hai ... kyun har saans mein uski khushboo utar jaati hai ... tahruff toh abhi nahi hai usse phir har waqt kyun woh aas pass hai ... yeh kaisi khwahish, yeh kaisa ehsaas hai
Chule ke angare jaise pehle tadpate haathon ko tab naseeb roti hoti hai ... jeevan saar yehi hai manwa tu kar, mat darr ... angaaron pe chalna hai sahi, yehi jeevan jyoti hai
Chhoti chhoti jal ki boondein sagar ko bhar deti hai ... balu ki rach nanhi nanhi sukar bhoomi rach deti hai ... kshan kshan kaal ikkattha hokar lamba yug ban jaata hai ... kshan ko shuksma na samjho bhai ... yeh jag ka nirmata hai
Darya bhi main, darakht bhi main ... Jhelum bhi main, chinar bhi main ... dair bhi hoon, haram bhi hoon ... Shai bhi hoon, Sunni bhi hoon, main hoon pandit ... main tha, main hoon aur main hi rahoonga
Hum toh falak ke taare the ... zameen pe aaye toh pehchaan payi, mazhab paya, rang paya, zubaan payi ... hum nikle the jannat dhoondne ... par har modh pe, har makaam pe, nafrat jung aur sarhad payi ... par apne tevar ka sikka ek din chalega zaroor ... khoon ubaal marega zamana badlega zaroor ... khud ko buland karenge ... rab ke bandhe hai hum ... gunday the, gunday hai, gunday rahenge hum
Jaise til mein tel hai, jyon chakmak mein aag ... tera Sai tujh mein hai, tu jaag sake toh jaag
Wahi taj hai, wahi takht hai, wahi zehar hai, wahi jaam hai ... yeh wahi khuda ki zameen hai, yeh wahi bhuton ka nizam hai ... bade shauk se mera ghar jalaa, koi aanch tujhpar na aayegi ... yeh zabaan kisi ne khareed li, yeh kalam kisi ka ghulam hai
Usse door se hi taakta raha ... bas yunhi waqt kaatta raha ... na jaane kyun nigahen thami rahi ... bas uske chehre par hi jami rahi ... kabhi chand samajhkar kabhi chandni ... hum usse dekhte rahe tehzeeb se ... par kabhi socha na tha unka deedar hoga inte kareeb se
Kavitaon ke matlab nahi ... unke jazbaat samajhne chahiye
by: Unknown
from: Satya 2 (2013)
code:
Bande hain hum uske, hum pe kiska zor ... umeedo ke suraj, nikle chaaron aurr ... iraade hai fauladi, himmati har kadam ... apne haatho kismat likhne, aaj chale hain hum
Jaane kya baat hai usmein joh mujhe kisi aur mein nazar nahi aati ... kya kashish hai un aankhon mein ki main nazar hata nahi paati ... kya hai joh mujhe har pal hairan kiya karta hai ... kya hai joh main tasavvur se mitta nahi paati
Woh kehte hain kabhi aur, kabhi aur hota nahi ... dil bhi toh nadan unke sivah kahin aur khota nahi ... hum mangte hai ek saans, ek dhadkan, ek nigaah ... woh kabhi aur de jaate hai ... par yeh kambakht kabhi aur, kabhi aur hota nahi
Woh aaj humse mile anjaano ki tarah ... hum yunhi raah take baithe the deewanon ki tarah ... har nigaah mein aur door chale jaate hai ... humse nazar churate hai baimaanon ki tarah ... hum yunhi raah take baithe the deewanon ki tarah
Humne joh ki thi mohabbat aaj bhi hai ... teri zulfon ke saaye ki chahat aaj bhi hai ... raat katti hai aaj bhi khayalon mein tere ... deewanon si woh meri haalat aaj bhi hai ... kisi aur ke tasavvur ko uthti nahi, baimaan aankhon mein thodi si sharafat aaj bhi hai ... chaha ki ek baar chahe phir chhod dena tu ... dil todh tujhe jaane ki izaazat aaj bhi hai
Tere jhoothe kasme vaadon se ... tere jalte sulagte khwabon se ... teri beraham duaon se ... nafrat karoonga main ... jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
Tera haath se haath chodna ... tera saayon ka rukh modna ... tera palat ke phir na dekhna ... nahin maaf karoonga main ... jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
Teri aankhon ki namkeen mastiyan ... teri hasi ki beparwah gustakhiyan ... teri zulfon ki lehrati angdaiyan ... nahi bhoolunga main ... jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
Baarishon mein bedhadak tere nachne se ... baat baat pe bewajah tere roothne se ... choti choti teri bachkani badmashiyon se ... mohabbat karoonga main ... jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
Yere yere pausa, tula deto paisa ... paisa saala khota, paus aala motha
Ik baat honthon tak hai joh aayi nahi, bas aankhon se hai jhaankti ... tumse kabhi, mujhse kabhi kuch lafz hai woh maangti ... jinko pehan ke honthon tak aa jaye woh, awaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh ... lekin joh yeh ek baat hai, ehsaas hi ehsaas hai ... khushboo si hai jaise hawa mein tairti, khushboo joh be-aawaaz hai ... jiska pata tumko bhi hai, jiski khabar mujhko bhi hai ... duniya se bhi chupta nahi, yeh jaane kaisa raaz hai
Pighle neelam sa behta hua yeh samaan, neeli neeli si khamoshiyan, na kahin hai zameen na kahin aasmaan ... sarsaraati huyi tehniyan pattiyan, keh rahi hai ki bas ek tum ho yahan ... sirf main hoon meri saansein hai aur meri dhadkane, aisi gehraiyan, aisi tanhaiyan, aur main sirf main ... apne hone pe mujhko yakeen aa gaya
Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, nazar mein khwabon ki bijliyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum ... hawa ke jhokon ke jaise aazad rehno seekho, tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho ... har ek lamhe se tum milo khole apni baahen, har ek pal ek naya samha dekhe yeh nigaahen ... joh apni aankhon mein hairaaniyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum
Jab jab dard ka baadal chaya, jab gham ka saaya lehraya, jab aasoon palkon tak aya, jab yeh tanha dil ghabraya ... humne dil ko yeh samjhaya, dil aakhir tu kyun rota hai ... duniya mein yunhi hota hai ... yeh joh gehre sannate hai, waqt ne sabko hi baante hai ... thoda gham hai sabka qissa, thodi dhoop hai sabka hissa ... aankh teri bekaar hi namm hai, har pal ek naya mausam hai ... kyun tu aise pal khota hai, dil aakhir tu kyun rota hai
Is zameen aur is aasman se pare ... jahan na waqt ho na tumhare mere sivah koi aur ... sirf ek feeling ho, ek jazba ho ... ki tum mujh mein ho aur main tum mein
Spandhanheen hriday mein josh naya barna hai aaj ... matra bhoomi ki parvarish ka karz ada karna hai aaj ... shaheedon ke lahu lohaan kadam pade jin rahon par ... un rahon par bankar phot kadamo tale bikharna hai aaj
Dushmano ke jism par karna nahi hum mein prahaar ... achook nishana saad karenge seedha unke dil par vaar ... satyagraha ke aage unko natmastak hona hi hoga ... chhod ke Bharat jayenge woh hokar bebas aur lachaar
Yeh joh pyar mohabbat ishq hai, is mein meetha meetha risk hai ... yeh kaisa prem game hai, jis mein sab kuch toh fix hai ... dil ke aaine ko dekho, tera chehra us mein mix hai
Yeh joh pyar mohabbat preet hai, sab jhoot fareb ki reet hai ... kisi andhe insaan ka sapna hai, ek goonge ka geet hai ... yeh joh pyar mohabbat preet hai, sab jhoot fareb ki reet hai
Jack and Jill gaye sumdi mein hill, laane ko pail of water ... Jack tapakgela, Jill atakgeli, life mein locha thereafter
Har baal ki khaal ki yeh chaal bhi kha jaaye ... iske haath padh jaaye toh mahiney saal bhi kha jaaye ... kisi behal ka bacha haal joh haal kha jaaye ... bemaut marte mann ka yeh malaal kha jaaye ... Lalu ka laal kha jaaye, naxal baari ki naal kha jaaye, bachpan ka dhamaal kha jaaye, budhape ki shawl kha jaaye ... haya toh chhodo behaya ki chaal bhi kha jaaye ... aur agar parosa ja sake toh khayal bhi kha jaaye
by: Unknown
from: Udaan (2010)
code:
Meri tarah hota agar khud par zara bharosa, toh kuch door tum bhi saath saath aate ... rang meri aankhon ka baantte zara sa, toh kuch door tum bhi saath saath aate ... nasha aasman ka joh choomta tumhe, hasratein tumhari naya janam paati ... khud doosre janam mein meri udaan chhoone, kuch door tum bhi saath saath aate
by: Unknown
from: Udaan (2010)
code:
1 2 3 4 9

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.