dialogues for Tag: Enemy
Tag: Enemy
Mafia apne dushman ko kabhi maaf nahi karta ... bhool se bhi yeh baat bhool mat jana
Hum mafia is pani ki tarah hai ... dosti ki mithaas mila de, amrit ban jayega ... dushmani ka zehar gholega, jaan lelega
Hum usse hi dushman samajhte rahe ... joh hamare liye masiha tha
Sari umar gavah di kamane mein paisa ... aur bad mein yahi saala paisa ban gaya apne dushman jaisa
Bhaage hamare dushman meri jaan, hum mein rukna hoga ... hamari mohabbat ke aage, in kamino ko jhukna hoga
Bhook hai, thakaan hai, dard ki pehchaan hai ... dushman jahaan hai, mann bhi pareshaan hai
Zindagi ek paheli hai ... kabhi dushman, kabhi saheli hai
Apne raaste se kaanto ko hata dena aur dushmano ko mita dena ... hamare khandan ki parampara hai
Mere dushmano ko sar chupane ke liye jagah dene waalon ... main tumhari chittaon ko jalne ke liye jagah nahi doonga
Agar koi mujhse pooche ki is duniya mein mera sabse bada dushman kaun hai ... toh main kahoonga tu ... sabse zyada nafrat main kisse karta hoon ... toh main kahoonga tujhse
Main jis peshe mein hoon na ... wahan mere sirf dushman hai, dost koi bhi nahi
Humne dekhe hai bahut dushmani karne waale ... waqt ki har saans se darne waale ... jiska haami hai khuda, kaun usse maar sake ... hum nahi bomb aur barood se marne waale
Joh ghar se kafan baandkar nikalte hai ... woh apna nahi dushman ka naam yaad rakhte hai
Humse dushmani modh lekar tumne zehareelay bichhoo ka dank apne shareer mein gaadh liya hai ... aur bichhoo ke dank se aadmi marta nahi hai ... zindagi bhar tadapta aur sisakta rehta hai ... tum bhi jab tak jeeoge tadapte aur sisakte hi rahoge
Main nafrat ke mohron se dushmani ka shatranj ussi ki bisaat pe khelonga ... aur aaisi maat doonga, aaisi maat doonga ki maut bhi roo padegi
Hamare dhande mein dushman khatam nahi hote ... mehmaano ki tarah ek jaata hai toh doosra chala aata hai
Dushman ko maarne ke liye hosh aur awaaz chahiye ... josh aur junoon nahi
Jab hum dushmano ka khayal karte hue apne paon neeche rakhte hai ... toh hamare dushman maut ka tasavur karte hue zameen se upar uthne lagte hai
Jab hum kash lagate hai ... toh hamare dushman gash khakar gir jaate hai
Auron ki zameen khodoge, toh usme se matti aur patthar milenge ... aur hamari zameen khodoge, toh usme se hamare dushmano ke sar milenge
Jab hum muskurate hai ... toh dushmano ke dil dahil jaate hai
Saale tune bhi dushmani ki laash par khoob dosti ka kafan pehnaya hai
Huye tum dost jiske ... uska dushman aasman kyun ho
Ek dushman ko doosre dushman se lada dena chahiye ... nuksaan chahe kisi ka bhi ho ... fayda hamesha hamara hota hai
Dushmani ki talvar ki dhaar ek taraf nahi hoti hai ... dono taraf hoti hai
Dosti bhulayi ja sakti hai ... dushmani nahi
Shaq ka kaante bahut zeharilay hote hai ... joh do dilon ke beech dooriyan bhi pehda kar dete hai aur dushmani bhi
Khel mein apni chaal ke saath saath dushman ki chaal pe bhi nazar rakhni chahiye
Jab koi dushman dushmani ka chola pehenkar samne aata hai toh pehchana jaata hai ... lekin jab koi dushman apno ka chola pehenkar samne aata hai toh badhe badhe dokha khakar reh jaate hai
Kal jab suraj doobega toh sirf aasman hi nahi ... hamare dushmano ke khoon se dharti bhi laal ho jayegi
Gussa insaan ka sabse bada dushman hai ... jisse gusse par kabu nahi, woh kisi cheez par kabu nahi rakh sakta ... gussa insaan ki akal ko kha jaata hai
Aaj hoga mere aakhri dushman ka khaatma ... aur phir kehlaunga main is duniya ka vishwatma
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
