dialogues for Tag:
Tag:
Kehne ko yeh shehar hai, sirf kehne ko ... par idhar jungle ka kanoon chalta hai
Yeh gaon nahi shehar hai ... yahan darindon ko sher ki tarah bahaduri se nahi, shikari ki tarah jaal dalkar maara jata hai
Leader ke jazbaat ka, Bambai ki barsaat ka aur producer ki baat ka ... kabhi bharosa karna nahi chahiye
Bijnor mein gunda pakda gaya ... hairan hoon is daur mein gunda pakda gaya
Bambai ki ladki aur Bambai ki barish ... kabhi bhi aayegi, kabhi bhi jayegi
Yeh maut ka shehar hai ... is shehar ki galiyon mein andhera hi andhera hai
Nasik ho yah Bambai ... ladkiyan ladkiyan hoti hai, patane ka tarika aana chahiye ... pyar kiya nahin jaata, karvaya jaata hai
Shehar mein koi aaisa raasta, koi chowk, koi aasia naka nahi bacha tha ... jahan par katilo ne hum par goliyo ki barsaat na ki ho
Suna hai Bambai shehar mein insaan aur haivaan ... dono ko chupne ki jagah milti hai
Doodh pani ka yeh milan, Ganga Jamuna sangam ... agar Allahabad ke baad milega toh yahin milega
Kyun meri Kashmir jaisi zindagi ko Kurukshetra banane pe tuli ho?
Yeh shehar ab jungle ban gaye hai ... yahan din ko insaan aur raat ko shaitaan ghumte hai
Joh hamari baat nahi maanta ... main usse singh maarke Singapore bana deta hoon
Yeh Dilli ki parliament nahin hai, hamari parliament hai ... yahan wahi aadmi bolega, jise hum sawaal poochenge
Yeh coat aur pant kya pehen liya, apne aap ko Rajkot samajh behte? ... humse uljhoge toh hum tumhe Pathankot bana denge yaad rakhna
Main tumhe Kashmir se baghakar, Jammu mein girakar, Delhi mein uthakar, Bhopal mein ghumakar, Madras mein nachakar, Kanyakumari mein thokar maarkar ... Lanka ke samundar mein phek doonga
Tumhari yeh baat sunkar mera dil Hyderabad ki tarah aabad ho gaya
Shirdi mera Pandharpur, Shirdi pujya staan ... yahin viraje Vithal mere, saavare Ghanshyam ... yahin bahe Ganga Jamuna, yahi tirth mahan ... pranaam mera sweekar karo Sainath bhagwan
Shehar kitna bhi ajnabee kyun na ho ... koi na koi toh apna mil hi jaata hai
Sara shehar mujhe lion ke naam se jaanta hai
Janam se Haridwar ka panda aur mooh mein murgi ka anda
Taar is majnoon ka aaya mujhe Holland se ... Sonia ji sair karke aa gayi England se
Tu Bombay ki public ko nahi jaanti ... khush hai toh khush, bhigdi toh thopda bhigad ke rakh deti hai
Log London se degree ke alava aur kabhi kabhi degree ke bajai ... mem lekar aa jaate hai
Kaisa re baandha prem ka bandhan ... loot liya mera komal tann mann ... jaa ghar jaa tu dekh le darpan ... lagti hai burman ki lotan ... tu mera jogi main teri jogan ... main teri Rati tu mera Madan ... na main jogi na main Madan ... main toh hoon Raampur ka Lakshman
Bijli giri Musharabad mein aur ghar jala Moradabad mein
Jeena toh Bambai mein ... marna toh Bambai mein
Punjab, Sind, Gujarat, Maharashtra ... Bangal ho ke Hyderabad ... Hindustan ke hum hai ... Hindustan hamara
Sharif aadmi England toh kya kisi bhi land mein chala jaye ... apni motherland ko kabhi nahi bhoolta
Shehar mein rehkar, nayi roshni mein palkar ... hamara libaas badal sakta hai ... hamari sabhyata toh nahi
Jisne Paris mein mohabbat nahi ki ... woh duniya mein kahin nahi kar sakta
Aye chasm-e-tamasha jhoom zara, ab waqt nazara aa pahuncha ... Kashmir mein do din jeene ko Kashmir ka maara aa pahuncha
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
