dialogues for Tag:
Tag:
Is sansar mein koi manav poorna buddhiman nahi hota ... Brahma srishti rachate hai, Vishnu uski raksha karte hai aur Shiv usko nasht karte hai
Duniya mein joh aadmi jitna zyada chanda deta hai ... log usse utna hi sharif aur imaandar samajhte hai
Duniya ke samne haath nahi jodhte ... warna kaam nikal jaane ke baad duniya waale haath todh dete hai
Aaj ki duniya mein agar zinda rehna hai ... toh duniya ke button apne haath mein rakhne parte hai
Yeh duniya khel madari ka, chalaki ka, hoshyari ka ... jeevan ki bansi par dukh ka dumroo dekho deta kaisi taal hai ... bol madari kiske liye yeh behroopiye ka haal hai ... paapi pet ka sawaal hai
Yahi toh kamaal hai mohabbat ka ... woh insaan ko zulm ke andhere kuye se nikalkar aasman ki us chaukhat tak pahuncha deti hai ... jahan suraj bhi roshni ki bheek mangne aata hai
Pyar woh sachai hai jiski dor mein sari duniya bandhi hui hai
Duniya mein jeene ke sirf do hi tareeke hai ... ya toh aadmi deewaron ke neeche dab jaye ... ya phir deewaron se upar uth jaye
Falak se awaaz hai ke aao ... tumhare layak na thi woh duniya ... tumhari khatir hum aasman par ek aur duniya saja rahe hai ... khuda ka irshaad ho raha hai ... falak nasheeno salaam bhejo ... lahu mein doobey shaheed-e-ulfat meri panahon mein aa rahe hai ... meri panahon mein aa rahe hai ... meri panahon mein aa rahe hai
Jeevan ek sapna hai, duniya ek maya hai ... yeh main nahi kehta hoon, yeh vedon ne bataya hai
Duniya ek stage hai, zindagi uska drama hai, insaan keval naam-matra actor hai aur maut uska parda hai
Bachche tumne sirf shehar ke college mein padai ki degree li hai ... maine yeh duniya ke college mein tajurbe ki padai haasil ki hai
Yahan bansuri ki bhasha koi nahi samajhta ... yeh duniya sirf lathi ki bhasha samajhti hai ... sirf lathi ki
Bade gaur se sun raha tha zamana ... tum hi so gaye dastan kehte kehte
Kisi ka fayda, kisi ka nuksaan ... kisi ka nuksaan, kisi ka fayda ... issi ka naam duniya hai
Duniya ko agar seedha rakhna ho ... toh ulta haath istamaal karna chahiye
Is duniya mein insaan do baar janam leta hai ... ek baar maa ki kok se pehda hokar ghar aata hai ... aur doosri baar ghar se nikalkar duniya mein jaata hai
Is duniya mein rehna hai ... toh judaai ki aadat dalni hi padti hai
Is duniya mein kuch muft nahi milta ... chahat ho ya zaroorat, paane ke liye kuch na kuch dena hi padta hai
Do lafz hai ... tanha, akele ... lekin ek saath likh diye jaye toh ek duniya, ek kainaat, ek talash, ek lamha, ek khushi ban sakte hai
Duniya se mujhe kuch hisaab chukane hai ... ek bar chuk jaye uske bad aaram hi aaram hai
Iraada paida karo, iraada ... iraade se asmaan ka chaand bhi insaan ke kadmo mein sajda karta hai
Humko mitta sake yeh zamane mein dum nahin ... humse zamana khud hain ... zamane se hum nahin
Sangeet woh daulat hai jisse duniya ka koi chor chura nahi sakta, koi daaku loot nahi sakta ... sangeet woh jadoo hai jiske samne duniya ka har jadoo beqaboo ho jaata hai
Iss duniya ki gaadi baimaani aur rishwat ke paiyon par chal rahi hai
Duniya ek circus hai aur insaan ek kalabaaz hai
Duniya mein joh apni hasti bhool jaata hai ... duniya bhi uski hasti bhool jaati hai
Duniya ek bahut badi mandi hai, bazar hai ... jahan pe har cheez ka bhaav hai, mol hai ... jahan pe har cheez ek bikau maal hai
Pyar mein woh gehrai hai ... jiske samne samundar bhi qatra malum hota hai ... pyar karne waalon ka dil itna bada hota hai ... ki sari kainath bhi uske samne zharra malum hoti hai
Joh doosron ki duniya andheri karte hai ... unki apni duniya mein bhi kabhi roshni nahi aati
Is duniya mein apne zakhm dikhane nahi chahiye ... varna yeh log marham ki jagah usse namak se bhar dete hai
Yeh duniya than-than gopal ki hai ... jiske paas rupaiya nahi woh kuch nahi
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
