dialogues for Tag: Weather
Tag: Weather
Woh toofan hi kya joh jaan na lele ... aur woh jaan hi kya joh toofan se darr jaye
Ek mahine se toh hai sookha, na jaane kahan saavan ki chhadi hai ... andar khatiya padi hai, bahar khatiya khadi hai
Pyar sardi ke us dhoop ke tukde ki tarah hota hai ... jab tak rehta hai toh dil ko bahut sukoon deta hai ... aur phir ek din chala jaata hai insaan ko us ehsaas ke saath jeene ke liye ... akela chhodkar
Baarish ki woh boodein achanak aisi lagne lagi ... jaise aasmaan se pani nahi, aag barasne lagi ho
Meri zindagi mein koi aur aa gaya hai ... ek sailaab, ek toofan ki tarah aur baha le gaya mujhe
Maut, mausam, machchar aur mantri ka kya bharosa
Ab ke saawan mein yeh shararat hamare saath hui ... hamara ghar chodke saare shehar mein barsaat hui
Barf padh rahi hai aur haath mein koi jaam nahi ... pilaye jao hum mein ... hum mein koi kaam nahi
Tu khelta hoga toofano se, humne toh toofan paale hai ... joh darte hai so marte hai, hum markar jeene waale hai
Hawa mein meethi si thandak hai ... aur chaand ki roshni mein ajeeb si khushboo
Agar toofan ka raasta badalna mushkil ho jaye ... toh apna raasta badal lena chahiye
Aisa lagta hai ki yeh bijli ek baar phir giregi ... pata nahi kispe aur kahan
Shaam hai, baarish hai, pyar ka mausam hai ... sun lene de hawa mein faile hue sangeet ko ... aag hai, tadap hai, bebasi ka aalam hai ... keh lene de aaj kuch bichre hue meet ko
Kabse is pyasi zameen pe barish ki ek boond tak nahi giri ... par aaj yahan toofan aayega
Patjhad ke baad aate hai din bahaar ke ... jeena kya jeevan se haar ke
Barsaat se bachne ki haisiyat nahin ... aur goli baari ki baat kar rahe hai aap log
Hamere baad mehfil mein afsane bayan honge ... baharen humko dhoondengi, na jaane hum kahan honge
Jab choti choti baaton mein hum haste the rote the, tabse tumse pyar kiya hai ... jab bin mausam barsaaton mein hum jhoom jhoom ke gaate the, tabse tumse pyar kiya hai ... jab chup chupke aadhi raaton mein chatt pe taare ginte the, tabse tumse pyar kiya hai ... ab toh khud bhi bhool chuka hoon main ki kabse tumse pyar kiya hai ... bas itna hi keh sakta hoon main ... ki sirf tumse, tum hi se pyar kiya hai
Jaise daur badalte hai, mausam badalte hai ... vaise hi har kutte ke din badalte hai
Pyar kabhi kabhi door hoke bhi itna paas hota hai ... aur kabhi paas hoke bhi kitna door ki mann usse dekhne ke liye itna tarasta hai jaise ... tapta reghistan baarish ki pehli boond ko tarasta hai ... kabhi bhaad ki tarah aata hai toh sab kuch baha le jaata hai ... kabhi os bankar girta hai, sab toot jaata hai ... par pyaas nahi bhujti ... aaisa anokha hota hai pyar
Yeh chehre ki rangat gulabi gulabi ... yeh mausam ki halat sharabi sharabi ... mera dil machalke keh raha hai ... something, something, something, something
Aandhi jab chalti hai na ... toh haath chhodne ka nahi, haath thaamne ka waqt hota hai
Toofan mein toh hum khushi se jaate hai ... yun jhoomkar marte hai ki jee jaate hai ... tum toh woh ho jisse samundar kha jaata hai ... arre hum toh woh hai joh samundar ko pee jaate hai
Aapke shehar ka mausam bada suhana lage ... ek lamha chura loon agar bura na lage
Humko aata hi nahi maut se darna yaaron ... hum toh toofan ko samajhte hai khilona yaaron
Samundar ki khamoshi apne andar bahut bade toofan ko chupaye hoti hai
Is shehar ki barsaat ka, neta ki baat ka aur producer ki zaat ka ... kabhi bharosa nahi karna chahiye ... kyun ki yeh sab jhoot bechte hai
Aadmi achcha hoon, iraada nek hai aur mausam first class hai ... chale?
Mausam banata hai parmeshwar ... usse badalta hai Rajeshwar
Mohabbat ko samajhna hai agar toh dariya mein kuda kar ... kyun ki kinare pe ukhudu bahetne se andaaz-e-toofan nahi hota
Bhare saawan mein reghistaan lagta hai ... yeh ghar mera khali makaan lagta hai
Tumne samundar ko lalkaara hai ... ab aaisa toofan aayega, aaisa sailaab uthega ... ki tumhara ishq, jispar tumhe bahut naaz hai ... tinke ki tarah beh jayega, tabah ho jayega, fanaa ho jayega
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
