dialogues for Tag:
Tag:
Kanoon ke samne jhoot bolna bhi bahut bada apradh hai
Is desh mein sabse bada gunaah, sabse bada apradh ... gareebi hai
Aapko toh tauba karne ki fursat bhi mil gayi ... hum mein toh ek gunaah karne ke liye yeh zindagi bhi kam pad gayi
Galati ko sudhaarne ka ek bhi mauka na dena ... usse bhi bada gunaah hai
Jurm jitna sangeen hota hai ... usse chupane ke tareeke bhi utne hi khatarnak hote jaate hai
Akal shakal ke chakkar mein, jurm na ho sangeen ... hum toh mast vanar hai, kabhi na ho gangeen
Jurm ke raaste kitne bhi makhmali kyun na hoon ... khatam toh jail ke kambal mein hi hote hai
Aapka shasan jise apradh kehta hai ... hamari bhasha mein usse kranti kehte hai
Agar apni azaadi ke liye ladna apradh hai ... toh haan maine apradh kiya hai
Gunaah mein hisaab kitaab nahi chalta
Jaan lena jurm hai ... sahi samay pe jaan lena ... raajneeti
Har badi daulat ke peeche koi na koi jurm hota hai
Jail mein gandagi dhoi nahi jaati ... gunah, gussa, tadap, dard in ragon mein baar baar duboya jaata hai ... saalon saal jab tak insaaniyat ka rang hamesha ke liye utar na jaye ... bas ek rang bachta hai, nafrat ka rang
Akad bakad bambay bo, assi nabbe jaane do, nabbe baad kiya tha joh, gunah hua ab sazaa lo ... akad bakad bambay bo, sazaa hui ab gunah lo
Jurm ki duniya mein waqt aur mauke ke hisaab se chalna padta hai
Yeh shehar jurm ka bhayanak jungle hai ... aur main is jungle ka sher hoon
Jurm ki duniya mein wafaadar dost ... kabhi bhi gaddari kar sakta hai
Bimari aur jurm ... chupane se dono badte hai
Joh agwai ka kaam kare so hijra bhaisaab
Chor ko sirf chori karte hue pakda ja sakta hai ... na uske pehle, na uske baad
Chori jiske naam se hoti hai ... loot bhi us hi ki hoti hai
Shuruvat se dekhne ka shaunk hai mujhe ... chahe woh film ho yah chori
Woh mohabbat jispar qazi ki mohar na ho ... gunah kehlati hai
Kanoon saale ka kaam jurm ko mitana hota hai ... logon ko nahi
Kaise lootna hai trick us mein nahi hai ... kisse lootna hai woh trick hai
Jurm karne waale saanp mujhe nevala kehte hai ... aur saanp ki khushboo mujhe bahut door se aa jaati hai
I hate crime and I hate criminals
Zindagi mein galati aur gunaah, har ek se hota hai ... magar gunaah karne ke baad usse chupana, usse bhi bada gunaah hai
Gunaah karneka lekin pakde nahi janeka ... pakda gaya toh gunaahgar ... nahi pakda gaya toh sahukar
Gunaah karo ... karo ... magar pakde mat jao
Gunaah karne ke sau tareeke hote hai ... pakde jaane ke ek sau ek
Aaj jurm ko nahi roka gaya toh kal bilkul nahi rukne payega ... agar abhi nahi pakde toh phir pakadna mushkil ho jayega
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
