dialogues for Tag:
Tag:
Vishwasghaat sabse bada gunaah hota hai ... ek aaisa gunaah joh maafi ke layak nahi
Jinke khoon mein wafaadari hoti hai ... woh gaddari ke bare mein sooch bhi nahi sakte
Is dharti se gaddari mat kar ... varna yeh dharti phategi, sholay ughlegi ... aur tujhe raakh kar degi
Raaz chahe pati ka ho ya patni ka ... agar usse dono ke beech khol diya jaye toh badapan hota hai ... aur chupaya jaye toh dokha hota hai
Khoon jaise apna rang nahi badalta ... vaise hi khoon apne khoon ke sar ki jhooti kasam nahi khaata
Jhoot ke kaale badal suraj ko kitna bhi dhak le ... ek din ujaala hokar hi rahega
Insaani rishton ko kayam rakhne ke liye kabhi kabhi jhoot bolna bahut zaroori hai
Apno se jhoot bolna ... apne aap ko bilkul akela kar dena hai
Insaan jhoot bol sakta hai ... lekin uske ungliyon ke nishaan jhoot nahi bol sakte
Jab bhook lagti hai na toh pet yeh nahin poochta ... ki yeh roti imaandari ki hai ya baimaani ki
Joh imaandaron se gaddari karega ... woh gaddaron se imaandari karega
Imaandari woh ganja sar hai jispar noton ke baal kabhi ugh hi nahi sakte ... thodi si baimaani ki tel ki malish karte rehna chahiye
Log kehte hai khoobsurat ladkiyan jab jhoot bolti hai ... toh aur bhi khoobsurat lagti hai
Jhoot ek vaishaya ki tarah hai ... jisse lakh parde mein rakho, magar uski asliyat nahi chupti
Jhoot ke haathon se khodi gayi kabar mein sachchai dafnayi nahi jayegi
Meri fitrat hai goongo se bulvana, bhairon ko sunane ke liye majboor kar dena aur jhooton ki zubaan se sach ughalvana
Itna bada jhoot mat bol ... ki jhoot bhi sharminda ho jaye
Mehnat, lagan aur akalmandi ke saath joh baimaani ki jaye ... us baimaani ka duniya ke tamaam imaandar milkar bhi kuch nahi bighad sakte
Wafaadari par note ke dher lagata hoon ... toh gaddari pe gaddaron ke seene par maut ke medal bhi laga deta hoon
Do kisam ke log zaroorat se zyada imaandari ka dhol peetate hai ... ek woh joh imaandar hote hai aur doosre woh joh puri tarah se baimaan hote hai
Kal yeh inaam dekh sari duniya baimaan ho jayegi ... toh harjai ko yakeen hai, kal sari khudai be-imaan ho jayegi
Baimaani ke dhande mein imaandari se kaam nahi karne waalon ka anjaam bahut bhayanak hota hai
Imaandari kitni bhi bewakoof ho ... aakhir ek din uski tarakki zaroor hoti hai ... aur baimaani kitni bhi chalaak ho ... ek din usse jail mein zaroor jana padta hai
Sachai aur imaandari ki buniyaad par jhoot aur fareb ka mahal bahut dino tak nahi tik sakta ... woh gir jaata hai
Jis insaan ne pehli baat jhoot se shuru ki ho ... usse kisi aur ko jhoota kehne ka koi haq nahi hai
Jhoot ka bhi rajneeti mein ek khaas maqam hai
Yeh kursi bhi bewafaa mehbooba ki tarah hai ... aaj iski toh kal uski
Yeh jhoot hai judge sahab, sarasar jhoot hai ... meri statement har lafz utna hi sacha hai jitna Mahabharat aur Ramayan mein likha har lafz ... meri statement utni hi sachi aur paakh hai jitni ki meri jism par yeh vardi
Do premiyon ko milane ke liye hazaar jhoot bhi bolne pade ... toh bolna chahiye
Jhoote saboot kitne bhi mazboot ho ... jhoote hi hote hai
Jhoot ki deewarein imaandari ki thokar par ret ka dher ban jayengi
Aurat ki bewafai ko samajhna duniya ke kisi mard ke bas ki baat nahi
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
