Page 6 of Famous, Popular Bollywood Movie Dialogues for Parties by Actor, Actress, Villain

dialogues for Tag:

Tag:
6 (of 11 pages) | 32 (of 326 items)
1 5 6 7 11
Joh dil ki rah par chalta hai ... woh duniya badal sakta hai
Mana ki duniya mein karodon bache aise hai jinke maa baap nahi hai ... magar is duniya mein karodon maa baap aise bhi hai jinki koi aulad nahi hai
Itna guroor toh chaand ko bhi nahi hai
Apne hisse ki zindagi toh hum jee chuke Chunni babu, ab toh bus dhadkano ka lihaaz karte hai ... kya kahen yeh duniya waalo ko joh, aakhri saans par bhi aitraaz karte hai
Duniya mein har kaam fayde ke liye kiya jata hai
Boond boond se sagar banta hai ... aur kiran kiran se suraj
Duniya mein yun aana, duniya se yun jaana ... aao toh le aana, jao toh de jaana ... yaadein, yaadein, yaadein
Jis din insaan duniya ki kisi bhi ladki ko samajh gaya na ... us din duniya swarg ban jayegi
Is tarah pyar ka izhaar nahi hota ... joh do kadam saath chale woh yaar nahi hota ... pyar karne waale kaaton pe chalte hai ... joh aa jaye sholay toh sholon mein jalte hai ... kyun tujhe mere pyar par aitbaar nahi hota ... agar dilon mein sacha pyar nahi hota ... toh yeh duniya nahi hoti, yeh sansar nahi hota
Yeh duniya haarne waalon ka kabhi saath nahi deti
Akalmand aadmi mein ek bahut badi bewakoofi hoti hai ... woh apne sivah sari duniya ko bewakoof samajhta hai
Duniya mein rehna hai toh kaam kar pyare ... haath jodh sabko salaam kar pyare
Yahan wahan sare jahan mein hamara raj hai ... jawani toh deewani zindabad hai
Kya haath paya hai, saare ke saare devi devtaon ka saath hai ... rahu ketu ka ghulam hai, wahan shani ka kya kaam hai
Insaan duniya ka sabse ghatiya janwar hai
Duniya mein kitni hai nafratein ... phir bhi dilon mein hai chahatein ... jao kehdo is jahan se, is zameen se, aasman se ... rok na sakenge ab yeh mohabbatein
Main yahan par surya ki roshni itni tezz kar doonga ... ki woh aadmi joh pachaas saalon se surya ko ghoorta aa raha hai ... us he bhi apni palkein jhukani hogi
Insaan ka is duniya mein aana is baat ka signal hai ... ke koi hai joh sirf uski khatir is duniya mein aaya hai
Sooryavansh ek aag hai ... ismein doston ke liye jitni jyoti hai ... dushmano ke liye utni hi jwala
Chaaron aur kudrat ka phaila kaisa yeh andhera hai ... maut ka taandav hai, gidhon ka dhera hai ... na pedhon ki chaanv hai, na kahin basera hai ... is bhayanak baat ka nahi koi savera hai ... maut ke khel se bachne bhaag rahe hai yeh log ... is hi dharti se judhe the, kyun bhool rahe hai yeh log ... dukh, peedha aur chaaron aur nirasha hai ... na jeene ki aur na jeevan ki asha hai ... kahin bhi duniya mein na padhe dharti par sookha ... insaan sab kuch seh sakta hai, par nahi reh sakta bhookha
by: Unknown
from: Jaanwar (1999)
code:
Kam se kam usse toh chhod diya hota joh sari duniya ko chhod ke baithi hai
Tees din hai tumhare paas ... ek-a-tees ve din mein agar tum is shehar ki hadh mein bhi nazar aaye ... toh duniya ki hadh se bahar nikaal kar phenk doonga
Main tumhe bahut pyar karta hoon ... itna jitna suraj karta hai apni kiranon se, chand karta hai apni chandni se, phool karte hai apni khushboo se
Duniya ka koi bhi dharm ... ek bete ko apni maa ki aakhri ichcha poori karne se nahi rok sakta
by: Ajay Devgan
from: Zakhm (1998)
code:
Tumhare seene mein joh dil hai woh Hindustani hai ... aur Hindustani dil awaara nahi hota ... yeh chahta toh sari duniya ko hai, lekin mitta kisi Hindustani par hai
Aapne insaan banaya achcha kiya, dil banaya bahut bura kiya ... aapne duniya banayi achcha kiya, magar aapne paisa banaya bahut bura kiya
Woh is duniya se alag toh nahi ... lekin unka pyar is duniya se alag hai
Surya purab ke bajaye paschim se nikal sakta hai ... reghistaan mein phool khil sakte hai lekin woh ... kabhi nahi hoga joh tum chahte ho, understand!
Yeh duniya jhoot ke paiyon par chalne waali woh gaadi hai ... jis mein petrol ki jagah gareebon ke armaan jalte hai
Is duniya mein agar tum sach dheere se bologe toh koi nahin manega ... aur agar jhoot, jhoot chila chila kar bologe toh sab maan jaate hain
Maut ho aaisi jisse sara zamana yaad kare ... yun toh aate hai sabhi is duniya mein marne ke liye
Sari duniya ki thandak paisa hai
1 5 6 7 11

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.