dialogues for Tag:
Tag:
Zindagi bas ek safar hai ... sacha ghar toh sabka ek hi hai ... upar waale ka
Insaan itna ghatiya janwar hai ... ki waqt padhne par khuda ki zaat se bhi inkaar karde
Maa banna duniya ka sabse bada saubhagya hai ... ishwar ka sabse bada vardaan
Bhagwan ke saath khel, sentimental hai maaf kar dega ... bhai mental hai, cheerke rakh dega
Swarg mein uparwaala premiyon ki jodi banata hai ... aur yahan dharti par unhe milata hai
Dharm aur raajneeti ka combination bahut khatarnak hai ... ekdum jaise ki sex aur violence ka
Devi ka prasad mandir mein milta hai ... garage mein nahin
Utha le re baba, utha le ... mereko nahi re, in dono ko utha le
Asli imaan sirf mohabbat hai
Jin gharon par Allah meherbaan hota hai ... wahan betiyan paida hoti hai
Hoga, na jaane kaisa hoga ... kahin na kahin, koi na koi, uparwaale ne meri kismat mein bhi likha hoga
Ishwar dil mein ho toh sachai mazboot rehti hai
Phir kabhi kisi Salim se mat kehna ... yeh mulk uska ghar nahi
Is baar maine tumhare khilaaf itne gawah ikhatte kar liye hai ... ki agar yamdoot bhi chahe toh bhi tumhara arrest warrant cancel nahi karva sakta
Jab upar waala kisi ke sar ke upar apna haath rakhna chahta hai ... toh aap badhon ke haath ko apna zariya banata hai
Logon ne rab ko rab kaha hai ... lekin maine apne yaar ko rab kaha hai
Pati woh hota hai jise patni parmeshwar samajhkar poojti hai ... ek kamzor aur besahara aurat par zulm karne waala pati nahi ... rakshas kehlata hai
Roshanara beti hai ek Musalman ki ... jisse pehchaan hai apne imaan ki ... pyar toh kya jaan tak loota doongi ... mujhe kasam hai apne Hindustan ki
Maine tumhe samjha tha badam, nikle moongphali ... ab bol Jai Bajrang Bali aur todh us tapori ki nali
Dharam aadmi ko khuda se aur aadmi ko aadmi se jodhta hai
Koi bhi baat agar zor zabardasti se manvayi jaye ... chahe woh mazhab ke baare mein ho, apne aqeeday, apne imaan ke baare mein ho ... ya phir apne usoolon ke baare mein ho ... uska asar zyada der nahi rehta aur nateeja tabahi hi hota hai
Jab mohabbat ki aag dahek uthti hai na toh woh mandir aur masjid ki taraf nahi dekhta hai ... un aankhon mein sirf dekhta hai jinhe woh pyar karta hai
Bhagwan chadawe se nahi ... chadane waale ki neeyat se khush hota hai
Duniya mein har dharm ke liye alag alag desh hai ... koi Hindu rashtra hai, koi Muslim, koi Isai ... sirf hamara Hindustan ek aaisa desh hai ... jiske dil mein har dharm ke logon ke liye jagah hai
Saare devtaon mein yamraj hi ek aaisa devta hai jiske naam ke baad bhi kuch nahi lagaya jaata ... na ji, na babu ... aur na hi uske naam ke pehle shri lagaya jaata hai ... kyun ki yamraj apne aap mein ek poora naam hai ... yamraj sirf yamraj hai
Aye aasmaan tere khuda se nahi hai khauff ... aye zameen tere aadmi se darr lagta hai
Upar ke yamraj ko hukum dena padta ki woh kisi ki zindagi ko maut mein badal de ... lekin zameen ka yeh yamraj kisi ke hukum ka intezar nahi karta ... woh khud maut ka faisla karta hai
Kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho ... kaise bataon main tumhe mere liye tum dharam ho, mere liye imaan ho ... tum hi ibaadat ho meri, tum hi to chaahat ho meri ... tum hi mera armaan ho, takta hoon main har pal jisse tum hi to voh tasveer ho, tum hi meri taqdeer ho ... tum hi sitaara ho mera, tum hi nazaara ho mera ... yudhyan mein mere ho tum, jaise mujhe ghere ho tum ... purab mein tum, paschim mein tum, uttar mein tum, dakshin mein tum, saare mere jeevan mein tum, har pal mein tum, har chin mein tum ... mere liye rasta bhi tum, mere liye manzil bhi tum, mere liye saagar bhi tum, mere liye saahil bhi tum ... main dekhta bas tumko hoon, main sochta bas tumko hoon, main jaanta bas tumko hoon, main maanta bas tumko hoon, tum hi meri pehchaan ho ... kaise bataon main tumhe, devi ho tum mere liye, mere liye bhagwaan ho ... kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho
Is sansar mein koi kisi ka malik nahi aur koi kisi ka naukar nahi ... sabka malik ek hai woh upar waala ... hum sab ussi ke naukar hai
Aapki nazaron mein paisa pyar aur bhagwan dono se bada hai ... aap samajhte hai joh madhurta paison mein hai woh Sharda ke sitar mein, Vishnu ke shank mein nahi ... aap samajhte hai joh sundarta paison mein hai woh Rati ki surat mein nahi, swarg ki jhanki mein nahi ... paise mein joh pavitatra hai woh Ganga ke pani mein nahi, Savitri ke daman mein nahi ... paise mein joh taqat hai woh maa ke aashirwad mein nahi, devtaon ke zubaan mein nahi ... satya, shiv, sundar sab paisa hai ... jiske paas paisa hai woh raja aur jiske paas paisa nahi woh Raju?
Maine kisi devta ko nahi dekha ... par tumhe dekh ke aaisa lagta hai ki woh tumse alag nahi hoga
Uparwaale ne daulat aur khane ka muqaddar alag alag kaagazon pe likha hua hai ... jisko daulat zyada deta hai uska khana kam kar deta hai ... jisko khana zyada deta hai uski daulat kam kar deta hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
