dialogues for Tag: Business
Tag: Business
Khatron se khelna hamara business hai, hamara karobar hai ... hamare paas maut ki factory hai ... hum maut banate jaate hai aur society mein bechte jaate hai
Hamare dhande mein aasunyon ke saath koi rishta nahin hota
Hamare dhande mein jazbaat aur rishtey nahi dekhe jaate
Business mein main dosti nahi paala karta
Koyle ki dalaali mein haath kaale ho jate hai ... magar kaala dhanda karne waalon ke toh mooh bhi kaale ho jate hai
Har paida hone waale ko marte waqt kafan pehenna padta hai ... vaise hi har kaale dhande karne waale ko hathkadi pehenni padti hai
Jab raajneeti pesha ban jaati hai, vyapar ban jaati hai ... toh kursi desh se badi ho jaati hai
Draupadi teri akele ki nahi hai ... hum sab shareholder hai
Kisi ka fayda, kisi ka nuksaan ... kisi ka nuksaan, kisi ka fayda ... issi ka naam duniya hai
Hindustani businessman ki ek bahut badi khoobi hai ... woh kam se kam paisa dekar achche se achcha result maangta hai
Hum apne dhande mein jis kisike saath taluk rakhte hai ... uski agli, pichli, sari zindagi ka hisaab kitaab apni kitaab mein rakh lete hai
Logon ki kismat mein toh lutna hi likha hai ... amir gareebon ko lootte hai, vyapari grahakon ko lootte hai aur neta janta ko lootti hai ... sabhi toh sabko lootte hai ... kalyug mein yahi hota raha hai aur yahi hota rahega
Hamari organization ko insaanon ki nahi ... balki kaam karne waalon ki zaroorat hoti hai
Hum vyapar aur pyar ko kabhi ek saath nahi milate
Main paanch lakh ka sauda karne aaya hoon ... aur meri jeb mein paanch phooti kaudiyaan bhi nahin hai
Apun ke dhande mein aadmi ko dhande se nahi pehchanta ... lekin uska kaam karne ke style se pehchanta hai
Aaj ke zamaane mein toh baimaani hi ek aaisa dhanda reh gaya hai ... joh poori imaandari ke saath kiya jaata hai
Achche khareedar hamesha sauda karne se pehle ... doosre ki keemat ka andaza lagate hai
Sher Khan kaale ka dhanda karta hai ... lekin imaandari se
Tumhe dekhte hi mere dil ka diwala aaisa nikal gaya hai jaise kisi satodiya ka nikal jaata hai ... aur mere jeevan ka karobar poora beh gaya hai ... yeh tabhi chalega jab tum apne prem ka finance mujhe dogi
Mazhab aur karobar do alag alag cheezein hai ... inko mix karne waala hamesha bhookha marta hai
Zindagi hazaron karvatein badalti hai ... aur ek din aapki zindagi ek aaisi karvat badlegi ... jiski lapet mein aakar aap apna tamaam business bhool jayenge
Yahan ka har sauda raat ke andhere mein hota hai
Maine zindagi mein prem ka karobar bahut dino tak kiya hai ... lekin prem sirf ek baar
Import export ka matlab hai idhar ka maal udhar aur udhar ka maal idhar
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
