dialogues for Tag:
Tag:
Kutta jab tak wafaadari kare usse bhar-pet khilao ... aur jab pagal ho jaye usse goli maar do
Do hazar crore ka malik ho yah sadak par bhaukne waala kutta ... marne se pehle dono ki aankhon mein khauff ek sa hi nazar aata hai
Woh bhool gaya ke usne sher ke mooh mein haath daala hai ... ab main uska haath toh kya ... uska poora wajood mitta ke rakh doonga
Sher aur bakri ek ghat par paani nahi pee sakat hai
Apne aangan ki bedh doosre ke ghar mein phale phoole toh ... ghar ke armaan maati mein mil jaate hai
Bada kamzor leg piece hai ... is murghi ko polio ho gaya tha kya?
Doston ke dukh dard baatne dekho Jaggi aaya hai ... abhe kaun hai woh kabootar jisne tumhe sataya hai
Achcha hua sanam hum bewafaa nikle ... wafaadar toh kutte hote hai
Jurm karne waale saanp mujhe nevala kehte hai ... aur saanp ki khushboo mujhe bahut door se aa jaati hai
Tiger na billo se darta hai ... aur na billo ke pillo se
Lambi race ke ghode ko goli nahin maarte ... gud aur chana khilate hain ... phir daav lagage paisa kamate hain
Insaan chahe janwar se mard ban gaya ho ... lekin kuch aaise mard hai joh janwar se insaan kabhi nahi ban sakte
Kutton ki yaadash badi tezz hoti hai
Badtameez, chaddar ki kameez, lohe ka pajama, bandar tera mama, arre billi teri mausi, kutta tera yaar, aam ka achaar ... aaja mere yaar!
Ek thi Rajesh Khanna ki "Haathi Mere Saathi" ... aur ek meri hai haath hi mere saathi
Duniya mein sirf teen cheezein hai joh kitni bhi koshish karo tedhi ki tedhi rehti hai ... kutte ki dum ... padosi mulk ki niyat ... aur Sikandar ke haathon se maroordi hui gardan
Aapko dekhte hi ... main jal bin machali, nritya bin bijli ban jata hoon
Tum ek saanp ko paal rahe ho ... aur tum usse jitna bhi doodh pilaoge woh tumhe hi dasega
Kutton ke bhaunkane se haathi ki chaal pe koi farak nahi padta
Kiski majaal joh chede dilair ko ... gardish mein gher lete hai geedar bhi sher ko
Billi ke nakhoon badh jaane se ... billi sher nahi ban jaati
Tum hamesha jeetne waale ghodhe par hi paisa lagate ho ... aur main jis ghodhe par paisa lagata hoon ... usse jeetna hi padta hai
Bandar ke nachane se kalandar nahi padte ... tasbi ke phirane se paighambar nahi padte
Apni jaan ki salamati chahta hai toh bhaag nikal yahan se ... varna tere tukde tukde karke cheel kauwon ko khila doonga
Kholo kholo apni aankhen aur gaur se suno ... dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahti hoon ... ek boond suraj ki, ek qatra aasman ka, koyal ki aadhi kook aur kuch jagmagate sapne ... achcha lage toh aur maango ... dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahti hoon ... aasman sa aaina, ek dibbi titliyon ki, ek chamach nadi ki dhar aur ek mutthi zindagi ... achcha lage toh aur maango ... dene ko toh bahut kuch hai, par apna sa kuch dena chahti hoon
Aye bhai agar main hal chalayega ... toh bhail kya karega?
Jitni tumhari property hai na ... utni jagah par sirf hamare ghode palte hai
Choti machliyan badi machliyon ko dhamki kabhi nahi deti
Aye junglee rascal stupid gadhe idiot
Kauva kitna bhi washing machine mein naha le ... bagula nahi banta
Tum ek number ke chor, luchche, lafangey, bhagode ho ... desh ke jawano ke naam pe kalank ho ... zeherilay saanp ka dank ho
Kehte hai jungle mein naya janwar aaye toh ... sabse pehle sher ko saalam karna padta hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
