dialogues for Tag:
Tag:
Baap toh aaise hi hote hai ... khushiyon ka har tukda baant dete hai bachchon mein ... lekin gham ka ek katra bhi nahi choone dete
She is like rajma chawal ... maa ka banaya hua
Umar ke saath saath na parents bachche ban jaate hai aur bachche parents
Bachche apni maa se kuch chupa nahi sakte
Baap mera, bhai mera, maa meri .... badla bhi mera hoga
Joh apni maa ki izzat nahi karte ... main unka baap bankar aata hoon
Ek baap ki zindagi mein khushiyon ka mauka sirf do baar aata hai ... pehli baar toh tab jab uska beta zindagi ke farsh par pehli bar bina kisi sahare ke kadam rakhta hai ... aur doosra tab jab wahi beta bada hokar apni shaadi shudha zindagi mein apna pehla kadam rakhta hai
Khali fees bharne se papa hone ki duty poori nahi hoti ... papa ki duty hoti hai bachchon ki khushiyan
Thoda butter, thoda drama aur thoda tears mix karo ... and papa ki koi bhi na yes ho jaati hai
Baap banne ka matlab sirf bachcha paida karna nahi hota
Meri dictionary mein sirf teen cheezen world class hai ... Bradman ki batting, Beatles ka music and mom ki cooking
Exam toh bahut hote hai, baap mostly ek hi hota hai
Mood hai mera ... baap hoon tera!
Bharat hamari mata hai, underworld jiska pita hai ... jago India jago!
Maa achchi hai ... apna khayal rakhti hai ... aur main desh ka khayal rakhta hoon
Jab pita ke budhe haath kaapne lage ... toh jawaan bete ka farz hota hai ki woh aakar unke haath batayein
Har baap ka ek baap hota hai ... aur usse hum dadaji kehte hai
Jis din saare beton ke baap aap jaise ho jayenge ... us din betiyan kisi baap ke liye bojh nahi kehlayengi
Maine tujhko pyar kiya, tere baap ne mujhko peeta ... tann ki shakti, mann ki shakti Bournvita
Baap ka paisa hai ... pade pade sadd jata hai
Joh ladki apne baap ko thug sakti hai ... woh kisi aur ki sagi kya hogi
Jis din main baap ban gaya na ... main apne bachche se chun chun ke gin gin ke badle loonga
Kisi bhi insaan ki zindagi mein woh din, woh pal, sabse zyada khushgawar hota hai ... jab uska beta uski zimedariyan baantne lage ... uski kursi par baithe
Aapke daddy terrorist hai? ... varna aaisa sex bomb aur kaun bana sakta hai
Tumhare daddy drug dealer hai na? ... varna aaisi nasheeli cheez aur kaun bana sakta hai ... tumhe dekhte hi nasha chad gaya
Apni aulad ke khatir zindagi toh maa baap de hi dete hai ... lekin aapne toh apni maut tak kurbaan kardi
Har Mummy ka khana yummy hota hai
Pitaji ka naam, mataji ki shaan ... aur dono ke ishq mein phas gaya yeh gareeb insaan
Ek biwi bewafaa ho sakti hai ... ek ladki, ek premika bewafaa ho sakti hai ... par ek maa bewafaa nahi ho sakti
Mere desh ki har maa ... aap jaisi zaroor hai
Joh udaasiyan bachchon ko khushiyan de jaye ... woh maa baap ko hamesha manzoor hoti hai
Jab beti badhi ho jaati hai ... toh maa ke seene ka bhoj badh jaata hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
