dialogues for Tag:
Tag:
Bhabhi hogi teri aur shaadi hogi meri
Waqt pe shaadi na karo ... toh aadmi bahek hi jaata hai
Shaadi tann ke bandhan se pehle mann ka bandhan hota hai
Meri shaadi ho chuki hai, magar maut se
Ladki jab ek baar suhag ka joda pehenle aur uski shaadi na ho ... toh wohi joda uske liye kafan ban jaata hai
Main samajhti thi ki shaadi do insaano mein hoti hai ... lekin tumhare pitaji se pata chala ki shaadi ek insaan ki doosre insaan ke saath nahi ... ek bank balance ki doosre bank balance ke saath, ek haisiyat ki doosre haisiyat ke saath, ek rutbe ki doosre rutbe ke saath hoti hai
Shaadi ho yah barbadi ... phool toh har jagah lagte hai
Mummy daddy meri shaadi karva rahe hai ... Sunday ko ladke waale ghar aa rahe hai ... meri baraat mein tum bhi aao ... koi pyara sa tofha lao ... jee na jalao
Jis shaadi ka aadhaar prem na ho, maan samaan na ho ... woh shaadi shaadi nahi ... balki hamari sanskriti ka apmaan hai
Tum aaise ulloo ke patthe ke saath kaise shaadi kar sakti ho?
Jabse huyi hai shaadi, aasoon baha raha hoon ... aafat gale padi hai, usko nibha raha hoon
Agar kabhi phir se shaadi karoonga toh aaisi khubsoorat ladki se ... joh hotel mein entry kare toh lage Sridevi, drawing room mein behti ho toh Madhuri Dixit, aur andar ke room mein ho toh Kimi Khaatpar ... matlab Katkar
Yeh hi Mama Banarasi ka dhanda hai ... gale mein samasya ka phanda hai ... magar Mama Banarasi kaatte hai aur shaadi byah ke rishtey ko prasad ke ladoo ki tarah baantte hai
Shaadi vivah mein jab bhi jaana hota hai na ... toh hamari memsaab ko toh do din pehle bata dena padta hai ... unko sajne savarne mein itna waqt lag jaata hai ... ki shaadi ke din ki bajai hum pehle bache ke janam din par hi pahunch paate hai
Kothe ki santan sirf ek raat ke liye dulhan banti hai ... umar bhar ke liye nahi ... woh daulat ke tarazu mein tulkar apni nath utarwaati hai ... byah karke suhagraat nahi manati
Shaadi toh kabhi na tootne waala ek bandhan hai, ek haqeeqat hai ... yeh woh rishta hai joh saans tootne ke baad hi tootta hai
Izzatdar aur bazaru aurat mein sirf ek hi farak hota hai ... suhaag ki nishani mangalsutra
Shaadi ke mandap mein pallu se ghaant baandhane waala pati nahi hota ... balki patni ki zindagi ki guthiyan suljhane waala pati hota hai ... pavitra agni ke gird phere lene waala pati nahi hota ... balki patni ke jeevan ko har aag se bachane waala pati hota hai
Sagai ke din ladka na aaye toh ek baap ke dil par kya guzarti hai ... yeh sirf ek ladki ka baap hi janta hai
Shaadi aurat ko majboot bana deti hai aur mard ko kamzor
Shaadi woh pavitra bandhan hai joh baaki saare bandhano ko kamzor bana deta hai
Pehli baar jana ki chudi bhari kalaiyon ka matlab suhaag hota hai ... pehli baar jana ki subah ghar se nikle mard ke lautte kadamo ki aahat sunane ki koshish ko intezar kehte hai ... pehli baar jana ki biwi kehlane se hi aurat ke jism mein rooh padti hai
Yeh saath pheron ka bandhan nahi hai ... vachan ka bandhan hai ... joh mujhe mitta toh sakta hai ... lekin toot nahi sakta
Baandha na mangalsutra maine kabhi kisi ko ... tum ghabrao ya chillao, baandhonga main tumhi ko
Bacha tha ek hi dost, uski bhi ho rahi hai shaadi ... yahan har mandap se ladki bhaagti hai, isse kehte hai barbaadi
Janam tera is duniya mein kabhi nahi hoga ... main shaadi nahi karoonga, tu paida kaise hoga?
Nahi dalenge hum haath izzat pe tumhari ... pehnayenge mangalsutra yahi khwaish hai hamari
Bina shaadi karvaye aap marne chale ... bandook haath mein li nahi jung ladne chale
Dulhan wohi joh piya mann bhaye ... aur dahej lekar aaye
Bin byahi ladki ka dil toh hota hi hai aaine ki tarah hai ... joh bhi samne padh jaata hai, ussi ki parchai us mein dikhne lagti hai ... lekin shaadi ke baad woh parchai tasveer mein badal jaati hai ... pati ki tasveer
Shaadi janam janam ka bandhan hai ... aur yeh bandhan swarg mein hi tay ho jaata hai
Ek ladki jab saari bandkar, gale mein phoolon ka haar dalkar, ladke ke saath apna pallu bandkar agni ke saat phere leti hai ... toh woh phere uski zindagi ko phira dalte hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
