dialogues for Tag:
Tag:
Dharm wohi hai joh matti se janam leta hai ... dharm wohi hai joh tumhari buddhi se janam leta hai ... dharm wohi hai joh tumhare dil, tumhare mann ko sachcha lagta hai ... dharm wohi hai joh tumhari aatma ko sachcha lagta hai
Rab milaye jodi ... ek andha, ek kodi
Bhagwan do hi baar haste hai ... pehli baar tab jab duniya kisiko aabad karna chahe aur bhagwan usse barbad ... aur doosri baar tab jab duniya kisiko barbad karna chahe aur bhagwan usse aabad
Bhagwan ka screenplay bhi ajeeb hai ... kabhi kisi ko muqammal jahaan nahi milta
Falsafi ko bahas ke andar khuda milta nahi ... dor ko suljha raha hoon aur sirah milta nahi
Parda nahi jab koi khuda se ... bandho se parda karna kya
Main bhi wohi karta hoon joh upar waala kehta hai ... woh nahi joh yeh upar waale kehte hai
Hum kisi sarhad ko nahi mante ... hum kisi mulk ko bhi nahi mante ... hum sirf yeh jante hai ki uparwaale ne sirf ek hi zameen banayi hai ... aur us pe sarhaden insaan ne banayi hai
Jeevan mein jab bhi rasta dhundla dikhai de ... toh bhagwan ki ungli thamkar hi insaan ko sahi rasta milta hai
Sharaab peene de masjid mein bahetkar ghalib ... yah woh jagah dikha de jahan khuda na ho
Pani se pyaas nah bhuji toh maikhane ki taraf chal nikla ... soocha shikayat karoon teri khuda se ... par khuda bhi tera aashiq nikla
Jis tarah Musalman ko pyari hai jumme ki namaz ... ussi tarah mujhe pyara hai jumme ko theater Delnaaz
Mere liye Allah ka vardaan aur maata ka farmaan ... sab ek samaan hai
Jahan satya hai wahan dharm hai ... aur jahan dharm hai wahan dhan hai
Joh doosro ki help karte hai ... bhagwan unki help karte hai
Ramchandra keh gaye Natwar se aaisa kalyug aayega ... dance bar mein raas rachega, casino mein lut jayega
Yeh Superman, Batman aur Spiderman ka baap malum hai kaun hai? ... Hanuman
Yeh duniya bati hui hai dharam ke naam par, desh ke naam par, rang ke naam par, jaat ke naam par ... par yeh woh sarhaden hai jise insaan ne kheenchi hui hai ... lekin in sabse upar hai woh jise insaan ne nahi uparwaale ne banaya hai ... pyar
Samaaj, mazhab, sab apni jagah hai ... lekin pyar sabse upar hai
Unko khuda mile jinko hai khuda ki talaash ... mujhko apna hissa mile, bas baat khallas
Sita Ram, Radhe Kishan yeh misaalen hai bhagwan ki ... insaano ki agar deni hai misaal toh dena Shaadi No. 1 ki
Jodiyan banana toh upar waale ka kaam hai ... lekin unhe salamat rakhna neeche waale ka kaam hai
Kisi mahaan aadmi ne kaha hai ... "Jako rakhe saiyan, maar sake na koi"
Har dharam ka ek hi matlab hota hai ... prem aur shanti ke raaste par chalna
Burre insaan ko sazaa dena uparwaale ka kaam hai lekin ... uparwaale se mulaqat karana mera kaam hai
Paisa agar bhagwan nahi hai ... toh bhagwan se kam bhi nahi hai
Upar waale sachche badshah di courier service lagi hai ... jab jisko kuch chahiye hota hai na ... bhej deta hai
Bambai mein ek hi kaam ho riya ... khao vada pav, bhajjiya ... bolo Ganpati Bappa Morya
Yeh khuda ke roop mein insaan hai ... yah insaan ke roop mein khuda
Mann se Raavan joh nikale ... Ram uske mann mein hai
Bhagwan ko malum tha ki aadmi saala kuch kare na kare lekin daru zaroor piyega ... isiliye usne aadmi ko ek dimag, ek thopda, ek dil de diya ... lekin kidney do de diya, ki agar ek kharab ho jaye toh aadmi doosri se apna kaam chalata rahe
Kabhi Santoshi maa ka vrat, toh kabhi Ambe maa ka, kabhi Durga maa ka, toh kabhi padosi ki maa ka ... kabhi solha somwar, toh kabhi Ganesh ka mangalwar
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
