dialogues for Tag: Comedy
Tag: Comedy
Hindi filmon ka paikhana kuch is tarah hota hai ... ki koi bhi, kuch bhi, kabhi bhi kar sakta hai
Ladki ke paas aansun nahi brahmastra hota hai ... jahan girati hai wahin qayamat dhaati hai
Hamari bewakoofi thi joh unse dil lagaya tha ... zamane se begaari thi unhe apna banaya tha ... jinhe humne haar samjha tha gala apna sajane ko ... ur woh kaala naag ban baithe hum hi ko kaat khane ko
Abhe dukaan pe itni goli maarunga hagega toh dhuaan niklega ... woh bhi ruk-ruk ke
Bruce Lee se zyada zaroori ab life mein saheli hai
Tu banda na bada sahi hai ... lekin zimmedari ke naam pe na hug deta hai
Pyar oonch neech kahan dekhta hai ... pyar SIM card ki tarah hota hai ... aur SIM card mehenge mobile mein, saste mobile mein, har mobile mein barabar fit hota hai
(Zyada smart mat ban) - Bahut mehnat karta hoon smart ban'ne ki ... shakal achhi nahi hai na
Roti huyi aurat pe aur dhood wale pe kabhi bharosa nahi karna chahiye
Aap sir hamare khandan par kalank hai ... aap nange TV par gir gaye ... aap nange ladies par nahi gir sakte the
Post sirf address ki wajah se nahi aata ... landmark ki wajah se aata hai ... aur is landmark ko pincode toh kya ... stamp ki bhi zaroorat nahi hai
Bhagwan ne do hi toh achi cheezein banayi hai ... filmein aur main
Dil ko rashtriya khel ghoshit kar dena chahiye ... sab khelte hai iske saath
Butter utna hi lagao jitna kha paao ... aisa na ki butter lagao aur phisal jaao
Kya kadardano se yeh mehfil khali hai ... na kahin seeti na kahin taali hai
Abhe kabab mein haddi ... chhed wali chaddi
Besharam gende ki behaya khaal ... bina pancho ki chaupal
Jawani mein aise pyar bhare kaand karne chahiye ... varna bhudape mein Ganga mein jaake dhoyenge kya
I can die without you ... sach-much ... and it's time for smooch
(Ab hum aapke bina jee nahi sakte) - Hum oxygen hai ka?
Agar aapka bhi meter chalu aur batti gul ... toh aao milkar bajaye bigul
Jab jung dil aur dimaag ki ho na ... toh hamesha dil ki sunte hai ... kyun ki dimaag kya hota dahi ... aur dil kya hota sahi
Kala aadmi ko bahut kuch deti hai ... lekin TDS bhi poora kaat leti hai
Thakela, pakela, boring, nirutsahi log ... cigarette se bhi zyada hanikarak hote hai
Nobody is virgin in this world ... yahan tak ki kudrat bhi virgin nahi hai ... updar baadal ek doosre se chhedkhani karte hai ... neeche hum bheeg jaate hai ... kehte hai baarish ho gayi
Sarphire hi itihaas likhte hai ... samajhdar usse padhte hai
Aspatal mein pade mareez ko aur pyar mein pade aashiq ko, kabhi akela na chhodna chahiye
Apni policy hai parayi TV aur parayi biwi on na karo bhaiya ... current lagega
Yeh joh aap gareebon ka paisa khaate hai ... usse nikaalte kahan hai
Aashiqon ne toh aashiqui ke liye Taj Mahal bana diya ... saala hum ek sandas na bana sake
Zindagi mein kabhi teen cheezon ko ignore mat karo ... ek toh foreign ka call, doosra UK ka Hall, aur teesra jhadte huye baal
Agar shaadi se pehle tum itni tension logi na ... toh shaadi ho na ho ... sugar aur BP dono ho jayegi
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
